adl-e-jahangiri
qasr-e-shāhī meñ ki mumkin nahīñ ġhairoñ kā guzar
ek din nūr-jahāñ baam pe thī jalva-figan
koī shāmat-zada rahgīr udhar aa niklā
garche thī qasr meñ har chaar taraf se qadġhan
ġhairat-e-husn se begam ne tamancha maarā
ḳhaak par Dher thā ik kushta-e-be-gor-o-kafan
saath hī shah-e-jahāñgīr ko pahuñchī jo ḳhabar
ġhaiz se aa ga.ī abrū-e-adālat pe shikan
hukm bhejā ki kanīzān-e-shabistān-e-shahī
jā ke pūchh aa.eñ ki sach yā ki ġhalat hai ye suḳhan
naḳhvat-e-husn se begam ne ba-sad-nāz kahā
merī jānib se karo arz ba-ā.īn-e-hasan
haañ mujhe vāq.ea-e-qatl se inkār nahīñ
mujh se nāmūs-e-hayā ne ye kahā thā ki bazan
us kī gustāḳh-nigāhī ne kiyā us ko halāk
kishvar-e-husn meñ jaarī hai yahī shara-e-kuhan
mufti-e-dīñ se jahāñgīr ne fatvā pūchhā
ki sharī.at meñ kisī ko nahīñ kuchh jā-e-suḳhan
mufti-e-dīn ne be-ḳhauf-o-ḳhatar saaf kahā
shar.a kahtī hai ki qātil kī uḌā do gardan
log darbār meñ is hukm se tharrā uTThe
par jahāñgīr ke abrū pe na bal thā na shikan
tarkashoñ ko ye diyā hukm ki andar jā kar
pahle begam ko kareñ basta-e-zanjīr-o-rasan
phir usī tarah use khīñch ke bāhar laa.eñ
aur jallād ko deñ hukm ki haañ teġh bazan
ye vahī nūr-jahāñ hai ki haqīqat meñ yahī
thī jahāñgīr ke parde meñ shahanshāh-e-zaman
us kī peshāni-e-nāzuk pe jo paḌtī thī girah
jā ke ban jaatī thī aurāq-e-hukūmat pe shikan
ab na vo nūr-jahāñ hai na vo andāz-e-ġhurūr
na vo ġhamze haiñ na vo arbada-e-sabr-shikan
ab vahī paañv har ik gaam pe tharrāte haiñ
jin kī raftār se pāmāl the murġhān-e-chaman
ek mujrim hai ki jis kā koī haamī na shafī
ek bekas hai ki jis kā na koī ghar na vatan
ḳhidmat-e-shāh meñ begam ne ye bhejā paiġhām
ḳhūñ-bahā bhī to sharī.at meñ ik amr-e-ahsan
mufti-e-sharā se phir shaah ne fatvā pūchhā
bole jaa.ez hai razā-mand huuñ gar bachcha o zan
vārisoñ ko jo diye laakh diram begam ne
sab ne darbār meñ kī arz ki ai shāh-e-zaman
ham ko maqtūl kā lenā nahīñ manzūr qisās
qatl kā hukm jo ruk jaa.e to hai mustahsan
ho chukā jab ki shahanshāh ko puurā ye yaqīn
ki nahīñ is meñ koī shā.eba-e-hīla-o-fan
uTh ke darbār se āhista chalā sū-e-haram
thī jahāñ nūr-jahāñ mo'takif-e-bait-e-ḳhazan
daf.atan paañv pe begam ke girā aur ye kahā
tū agar kushta shudī aah che mī kardam man
qasr-e-shahi mein ki mumkin nahin ghairon ka guzar
ek din nur-jahan baam pe thi jalwa-figan
koi shamat-zada rahgir udhar aa nikla
garche thi qasr mein har chaar taraf se qadghan
ghairat-e-husn se begam ne tamancha mara
KHak par Dher tha ek kushta-e-be-gor-o-kafan
sath hi shah-e-jahangir ko pahunchi jo KHabar
ghaiz se aa gai abru-e-adalat pe shikan
hukm bheja ki kanizan-e-shabistan-e-shahi
ja ke puchh aaen ki sach ya ki ghalat hai ye suKHan
naKHwat-e-husn se begam ne ba-sad-naz kaha
meri jaanib se karo arz ba-ain-e-hasan
han mujhe waqea-e-qatl se inkar nahin
mujh se namus-e-haya ne ye kaha tha ki bazan
us ki gustaKH-nigahi ne kiya us ko halak
kishwar-e-husn mein jari hai yahi shara-e-kuhan
mufti-e-din se jahangir ne fatwa puchha
ki shariat mein kisi ko nahin kuchh ja-e-suKHan
mufti-e-din ne be-KHauf-o-KHatar saf kaha
shara kahti hai ki qatil ki uDa do gardan
log darbar mein is hukm se tharra uTThe
par jahangir ke abru pe na bal tha na shikan
tarkashon ko ye diya hukm ki andar ja kar
pahle begam ko karen basta-e-zanjir-o-rasan
phir usi tarah use khinch ke bahar laen
aur jallad ko den hukm ki han tegh bazan
ye wahi nur-jahan hai ki haqiqat mein yahi
thi jahangir ke parde mein shahanshah-e-zaman
us ki peshani-e-nazuk pe jo paDti thi girah
ja ke ban jati thi auraq-e-hukumat pe shikan
ab na wo nur-jahan hai na wo andaz-e-ghurur
na wo ghamze hain na wo arbada-e-sabr-shikan
ab wahi panw har ek gam pe tharraate hain
jin ki raftar se pamal the murghan-e-chaman
ek mujrim hai ki jis ka koi hami na shafi
ek bekas hai ki jis ka na koi ghar na watan
KHidmat-e-shah mein begam ne ye bheja paigham
KHun-baha bhi to shariat mein ek amr-e-ahsan
mufti-e-shara se phir shah ne fatwa puchha
bole jaez hai raza-mand hun gar bachcha o zan
warison ko jo diye lakh diram begam ne
sab ne darbar mein ki arz ki ai shah-e-zaman
hum ko maqtul ka lena nahin manzur qisas
qatl ka hukm jo ruk jae to hai mustahsan
ho chuka jab ki shahanshah ko pura ye yaqin
ki nahin is mein koi shaeba-e-hila-o-fan
uTh ke darbar se aahista chala su-e-haram
thi jahan nur-jahan mo'takif-e-bait-e-KHazan
dafatan panw pe begam ke gira aur ye kaha
tu agar kushta shudi aah che mi kardam man
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.