adl ka fuqdan
qātil-o-maqtūl barābar
zālim-o-mazlūm barābar
qalam bhī bandūq barābar
ma.atūb-o-mahbūb barābar
apnī goyā sāthī kī
har ik ḳhātūn barābar
na.ī dānishvarī jo paḌhī
mūsā-o-qārūn barābar
zulm to sab par sāñjhā thā
banī-isrā.īl-o-fir.aun barābar
maañ chāhe rotī rahe
shahīd bachche aur mal.ūn barābar
baloch jo ghar se ġhā.eb haiñ
sab par magar qānūn barābar
zulm kī andhī fikr meñ
yazīd-o-husain barābar
na.ī na.ī paḌhī sahāfat
mash.al-o-hujūm barābar
añdherā bhī ujāle sā hai
zulmat-o-nūr barābar
basīrat par parda paḌā
sach aur har ik jhuuT barābar
ulTī gañgā bahtī hai
madārī-o-aflātūn barābar
jab tak apnā na bahe
āb-o-ḳhūn barābar
ik un kā bhī maar girāo
phir kahnā mārne vaalā aur marhūm barābar
qatil-o-maqtul barabar
zalim-o-mazlum barabar
qalam bhi banduq barabar
matub-o-mahbub barabar
apni goya sathi ki
har ek KHatun barabar
nai danishwari jo paDhi
musa-o-qarun barabar
zulm to sab par sanjha tha
bani-israil-o-firaun barabar
man chahe roti rahe
shahid bachche aur malun barabar
baloch jo ghar se ghaeb hain
sab par magar qanun barabar
zulm ki andhi fikr mein
yazid-o-husain barabar
nai nai paDhi sahafat
mashal-o-hujum barabar
andhera bhi ujale sa hai
zulmat-o-nur barabar
basirat par parda paDa
sach aur har ek jhuT barabar
ulTi ganga bahti hai
madari-o-aflatun barabar
jab tak apna na bahe
aab-o-KHun barabar
ek un ka bhi mar girao
phir kahna marne wala aur marhum barabar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.