adna sa basi
kal bhī merī pyaas pe dariyā hañste the
aaj bhī mere dard kā darmāñ koī nahīñ
maiñ is dhartī kā adnā sā baasī huuñ
sach pūchho to mujh sā pareshāñ koī nahīñ
kaise kaise ḳhvāb bune the āñkhoñ ne
aaj bhī un ḳhvāboñ sā arzāñ koī nahīñ
kal bhī mere zaḳhm bhunā.e jaate the
aaj bhī mere haath meñ dāmāñ koī nahīñ
kal merā nīlām kiyā thā ġhairoñ ne
aaj to mere apne beche dete haiñ
sach pūchho to merī ḳhatā bas itnī hai
maiñ is dhartī kā adnā sā baasī huuñ
kal bhi meri pyas pe dariya hanste the
aaj bhi mere dard ka darman koi nahin
main is dharti ka adna sa basi hun
sach puchho to mujh sa pareshan koi nahin
kaise kaise KHwab bune the aankhon ne
aaj bhi un KHwabon sa arzan koi nahin
kal bhi mere zaKHm bhunae jate the
aaj bhi mere hath mein daman koi nahin
kal mera nilam kiya tha ghairon ne
aaj to mere apne beche dete hain
sach puchho to meri KHata bas itni hai
main is dharti ka adna sa basi hun
- Book : Mausam Andar Bahar ke (Pg. 41)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.