afsana-e-shab-rang
āriz-e-gul pe laraztī huī bekal shabnam
muntazir hai ki chale bād-e-sahar
koī jhoñkā
koī sūraj kī kiran
paas aa jaa.e to afsāna-e-shab-rañg sune
naġhma-e-zahra-o-nāhīd kī jhankār sune
barbat-e-salmā ke tāroñ kī sadā-e-dilkash
ābshāroñ kī nidā
ḳhārzāroñ kī sadā
phuul ke dil kī jalan sozish-e-mahtāb kā haal
Dūbte tāroñ ke ḳhāmosh nigāhoñ kā payām
nāla-e-nīm-shabī
āh-e-dil-e-zār kā haal
ālam-e-ishq-o-mohabbat kī hikāyāt sune
paas aa jaa.e to afsāna-e-shab-rañg sune
aur dekhe kisī shā.ir ke falak-bos mahal
kis tarah chāñd-sitāroñ ko janam dete haiñ
kis tarah āriz-e-gulgūñ ko ridā-e-shabnam
Dhāñp letī hai siyah-rāt ke sannāTe meñ
aariz-e-gul pe larazti hui bekal shabnam
muntazir hai ki chale baad-e-sahar
koi jhonka
koi suraj ki kiran
pas aa jae to afsana-e-shab-rang sune
naghma-e-zahra-o-nahid ki jhankar sune
barbat-e-salma ke taron ki sada-e-dilkash
aabshaaron ki nida
KHarzaron ki sada
phul ke dil ki jalan sozish-e-mahtab ka haal
Dubte taron ke KHamosh nigahon ka payam
nala-e-nim-shabi
aah-e-dil-e-zar ka haal
aalam-e-ishq-o-mohabbat ki hikayat sune
pas aa jae to afsana-e-shab-rang sune
aur dekhe kisi shair ke falak-bos mahal
kis tarah chand-sitaron ko janam dete hain
kis tarah aariz-e-gulgun ko rida-e-shabnam
Dhanp leti hai siyah-raat ke sannaTe mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.