afsana-e-shahr
shahr ke shahr kā afsāna vo ḳhush-fahm magar saada musāfir
ki jinheñ ishq kī lalkār ke rahzan ne kahā: aao!
dikhlā.eñ tumheñ ek dar-e-basta ke asrār kā ḳhvāb
shahr ke shahr kā afsāna vo dil jin ke bayābāñ meñ
kisī qatra-e-gum-gashta ke nāgāh larazne kī sadā ne ye kahā:
''aao dikhlā.eñ tumheñ sub.h ke hoñToñ pe tabassum kā sarāb!''
shahr ke shahr kā afsāna vahī ārzū-e-ḳhasta ke lañgḌāte hue pair
ki haiñ aaj bhī afsāne kī duzdīda o zhūlīda lakīroñ pe ravāñ
un asīroñ kī tarah jin ke rag-o-reshe kī zanjīr kī jhankār
bhī tham jaa.e to kah uTTheñ kahāñ
''ab kahāñ jā.eñge ham
jaa.eñ ab taaza o nādīda nigāhoñ ke zamistāñ meñ kahāñ?''
un asīroñ kī tarah jin ke liye vaqt kī be-sarfa salāḳheñ
na kabhī sard na garm aur na kabhī saḳht na narm
na rihā.ī kī pazīrā.ī na asīrī hī kī sharm
shahr ke shahr kā afsāna vo rūheñ jo sar-e-pul ke sivā
aur kahīñ vasl kī juuyā hī nahīñ
pul se jinheñ paar utarne kī tamannā hī nahīñ
is kā yaarā hī nahīñ!
shahr ke shahr ka afsana wo KHush-fahm magar sada musafir
ki jinhen ishq ki lalkar ke rahzan ne kaha: aao!
dikhlaen tumhein ek dar-e-basta ke asrar ka KHwab
shahr ke shahr ka afsana wo dil jin ke bayaban mein
kisi qatra-e-gum-gashta ke nagah larazne ki sada ne ye kaha:
aao dikhlaen tumhein subh ke honTon pe tabassum ka sarab!
shahr ke shahr ka afsana wahi aarzu-e-KHasta ke langDate hue pair
ki hain aaj bhi afsane ki duzdida o zhulida lakiron pe rawan
un asiron ki tarah jin ke rag-o-reshe ki zanjir ki jhankar
bhi tham jae to kah uTThen kahan
ab kahan jaenge hum
jaen ab taza o nadida nigahon ke zamistan mein kahan?
un asiron ki tarah jin ke liye waqt ki be-sarfa salaKHen
na kabhi sard na garm aur na kabhi saKHt na narm
na rihai ki pazirai na asiri hi ki sharm
shahr ke shahr ka afsana wo ruhen jo sar-e-pul ke siwa
aur kahin wasl ki juya hi nahin
pul se jinhen par utarne ki tamanna hi nahin
is ka yara hi nahin!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.