after shocks
ab ke baras chaumukh meñ
ek aziim firāq kī barf paḌī hai
kohsāroñ ne
kafūrī qabreñ oḌhī haiñ
kisī qadam kā naqsh
koī dhañstā huā paañv
koī phisaltā ḳhanda
koī kilkārī
kuchh bhī nahīñ
kuchh bhī to nahīñ
saare meñ
ik marmar aisī
behis yaḳh kī shok
dahak rahī dhartī ke siine uupar
marham aisī
manfī das kī marī paḌī ḳhāmoshī
ek shahīd chīnār ke pahlū se bāhar ko niklā
ik ḳhush-ḳhaslat
nanhā munnā haat
jo aate jaate
nauhe paḌhte jhoñkoñ meñ
dūr-darāz ke hañste baste shahroñ kī
āñkhoñ kī jānib
jo kabhī us ko dekh nahīñ pā.eñgī
ek vidā-e-dā.im ke andāz meñ larzāñ hai
ab ke baras chaumukh mein
ek azim firaq ki barf paDi hai
kohsaron ne
kafuri qabren oDhi hain
kisi qadam ka naqsh
koi dhansta hua panw
koi phisalta KHanda
koi kilkari
kuchh bhi nahin
kuchh bhi to nahin
sare mein
ek marmar aisi
behis yaKH ki shok
dahak rahi dharti ke sine upar
marham aisi
manfi das ki mari paDi KHamoshi
ek shahid chinar ke pahlu se bahar ko nikla
ek KHush-KHaslat
nanha munna hat
jo aate jate
nauhe paDhte jhonkon mein
dur-daraaz ke hanste baste shahron ki
aankhon ki jaanib
jo kabhi us ko dekh nahin paengi
ek wida-e-daim ke andaz mein larzan hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 110)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.