agar ho aadamiyat aadmi mein
hazāroñ saal kī būḌhī hai duniyā
magar phir bhī na.ī lagtī hai duniyā
vahī sāgar vahī un kī ravānī
vahī parbat vahī un kī javānī
vahī jañgal vahī ashjār un ke
vahī manzar vahī asrār un ke
vahī bādal hazāroñ ruup vaale
chamakte din sunahrī dhuup vaale
vahī din raat ke manzar suhāne
vahī panchhī vahī un ke tarāne
vahī gulshan vahī un kī bahāreñ
vahī ma.asūm paudoñ kī qatāreñ
vahī jharne vahī nadiyoñ kā paanī
vahī naġhme vahī dilkash kahānī
vahī sub.heñ vahī gulnār shāmeñ
vahī mahtāb-o-anjum aur rāteñ
vahī dhartī vahī maañ jaisī dhartī
nazar aatī hai jo firdaus-e-arzī
zamīñ par nekiyāñ zinda raheñgī
to ye shāyad zinda raheñgī
na hogī ādamiyat aadmī meñ
to kyā ābādiyāñ zinda raheñgī
hazaron sal ki buDhi hai duniya
magar phir bhi nai lagti hai duniya
wahi sagar wahi un ki rawani
wahi parbat wahi un ki jawani
wahi jangal wahi ashjar un ke
wahi manzar wahi asrar un ke
wahi baadal hazaron rup wale
chamakte din sunahri dhup wale
wahi din raat ke manzar suhane
wahi panchhi wahi un ke tarane
wahi gulshan wahi un ki bahaaren
wahi masum paudon ki qataren
wahi jharne wahi nadiyon ka pani
wahi naghme wahi dilkash kahani
wahi subhen wahi gulnar shamen
wahi mahtab-o-anjum aur raaten
wahi dharti wahi man jaisi dharti
nazar aati hai jo firdaus-e-arzi
zamin par nekiyan zinda rahengi
to ye shayad zinda rahengi
na hogi aadamiyat aadmi mein
to kya aabaadiyan zinda rahengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.