agar KHuda mil gaya mujhko
ye sochtā huuñ jo
ḳhudā kabhī dīdār baḳhshegā
aur apne fazl se degā ijāzat māñgne kī kuchh
to na dastār-o-qabā na jibh-o-ḳhirqa
na daulat na mahal na sar pe taaj māñgūñgā
na ohda-o-mansab na koī jāh-o-jalāl
na ilm-o-āgahī na masnad na eqtidār māñgūñgā
farāvānī ġham se najāt na fāriġh-ul-bālī
na sehat na shifā na achchhī maut māñgūñgā
na takmīl-e-ārzū kī duā na nafs-e-mutma.inna kī
na umr-e-ḳhizr na shohrat na ḳhvāb kī ta.abīr māñgūñgā
na dushmanoñ ke zarar se na shar se dostoñ ke
na kibr-sinī na zo.af na lāchārī se panāh māñgūñgā
na duniyā jahān kī ḳhushiyāñ na shān-o-shaukat hī
na ḳhush-nasībī na dil kā chain na sukūn-e-rūh māñgūñgā
na ḳhush-gavār rāteñ na tūl-e-shabāb na niiñd na āġhosh-e-mahbūb
na sāmān-e-aish-o-tarab na hūr-o-qusūr māñgūñgā
na rusvā.ī se bachne kī na izzat aabrū kī ḳhvāhish hai
na shohrat-o-maqbūliyat na achchhī image māñgūñgā
na qarz ke bojh na ḳhauf na dahshat se
na kisī ke jabr se na zulm se hifāzat kī duā māñgūñgā
ab aap sochte hoñge
ki ye bāvlā ye dīvāna ye pāgal shaḳhs
na jaane āḳhir ḳhudā se kyā māñgegā
so mire hamdam mire dosto mire yaaro
zarā qarīb aao aao batā.ūñ raaz tumheñ dukhī dil kā
maiñ ḳhudā-e-qādir-e-mutlaq rahīm-o-akram se
junūn-e-mazhabī ke ḳhātme aur amn kī fazā māñgūñgā
ye sochta hun jo
KHuda kabhi didar baKHshega
aur apne fazl se dega ijazat mangne ki kuchh
to na dastar-o-qaba na jibh-o-KHirqa
na daulat na mahal na sar pe taj mangunga
na ohda-o-mansab na koi jah-o-jalal
na ilm-o-agahi na masnad na eqtidar mangunga
farawani gham se najat na farigh-ul-baali
na sehat na shifa na achchhi maut mangunga
na takmil-e-arzu ki dua na nafs-e-mutmainna ki
na umr-e-KHizr na shohrat na KHwab ki tabir mangunga
na dushmanon ke zarar se na shar se doston ke
na kibr-sini na zoaf na lachaari se panah mangunga
na duniya jahan ki KHushiyan na shan-o-shaukat hi
na KHush-nasibi na dil ka chain na sukun-e-ruh mangunga
na KHush-gawar raaten na tul-e-shabab na nind na aaghosh-e-mahbub
na saman-e-aish-o-tarab na hur-o-qusur mangunga
na ruswai se bachne ki na izzat aabru ki KHwahish hai
na shohrat-o-maqbuliyat na achchhi image mangunga
na qarz ke bojh na KHauf na dahshat se
na kisi ke jabr se na zulm se hifazat ki dua mangunga
ab aap sochte honge
ki ye bawla ye diwana ye pagal shaKHs
na jaane aaKHir KHuda se kya mangega
so mere hamdam mere dosto mere yaro
zara qarib aao aao bataun raaz tumhein dukhi dil ka
main KHuda-e-qadir-e-mutlaq rahim-o-akram se
junun-e-mazhabi ke KHatme aur amn ki faza mangunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.