agar main hans paDun
munāfiqoñ ke darmiyāñ
ghirā huā
maiñ ek sach huuñ
abr meñ chamakte chāñd kī tarah
mere rū-ba-rū tamām
vahshiyoñ ke raqs un kī barahna adā.eñ
zahr meñ nahā.e ḳhanjaroñ
kī kahkashāñ sajā.e
mujh ko mere apne ahd se hī
kaaT dene kī lagan meñ
is qadar qarīb haiñ
agar maiñ hañs paḌūñ
to saarā raqs
ḳhanjaroñ meñ Duub jaa.e
munafiqon ke darmiyan
ghira hua
main ek sach hun
abr mein chamakte chand ki tarah
mere ru-ba-ru tamam
wahshiyon ke raqs un ki barahna adaen
zahr mein nahae KHanjaron
ki kahkashan sajae
mujh ko mere apne ahd se hi
kaT dene ki lagan mein
is qadar qarib hain
agar main hans paDun
to sara raqs
KHanjaron mein Dub jae
- Book : Hukm Nama (Pg. 94)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.