agar tum do-qadam upar gae
agar tum do-qadam uupar ga.e bādal ko chhū loge
kahīñ bārish meñ barsoge
kisī patthar pe rauñde jāoge
chhat se giroge
chhatriyoñ par suukh jāoge
nikāleñgī tumheñ ghar vāliyāñ ghar se
uThā kar Daal deñgī dhuup meñ
un gudḌiyoñ ke saath
jin ko chhoḌ kar tum do-qadam uupar ga.e the ek din
jab habs thā aur log bāhar so rahe the
agar tum do-qadam upar gae baadal ko chhu loge
kahin barish mein barsoge
kisi patthar pe raunde jaoge
chhat se giroge
chhatriyon par sukh jaoge
nikalengi tumhein ghar waliyan ghar se
uTha kar Dal dengi dhup mein
un gudDiyon ke sath
jin ko chhoD kar tum do-qadam upar gae the ek din
jab habs tha aur log bahar so rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.