agar tum mohabbat ho
agar tum ho
bārish kā ek qatra
yā koī aañsū
giro
giro
mere dil par
ye namak kā banā huā hai
aur mere hoñT
bane hue haiñ mom se
agar tum dhuup ho
agar tum yaad ho
titlī kā TuuTā huā par
yā merī jalī huī billī
rakh do merī sīḌhiyoñ par
ye banī huī haiñ ḳhvāb se
aur maiñ banā huā huuñ tum se
agar tum mohabbat ho
agar tum ho
barish ka ek qatra
ya koi aansu
giro
giro
mere dil par
ye namak ka bana hua hai
aur mere honT
bane hue hain mom se
agar tum dhup ho
agar tum yaad ho
titli ka TuTa hua par
ya meri jali hui billi
rakh do meri siDhiyon par
ye bani hui hain KHwab se
aur main bana hua hun tum se
agar tum mohabbat ho
- Book : saarii nazmen (Pg. 104)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.