agar yahi hai shaeri to shaeri haram hai!
agar yahī hai shā.erī to shā.erī harām hai!
ḳhirad bhī zer-e-dām hai junūñ bhī zer-e-dām hai
havas kā naam ishq hai talab ḳhudī kā naam hai
nazar udaas dil malūl ruuh tishna-kām hai
magar laboñ pe naġhma-e-hayāt shād-kām hai
rahīn-e-āriz-e-hasīñ asīr-e-zulf-e-mushkbū!
nigāh meñ liye hue ghuTī ghuTī sī justujū
bhaTak rahe haiñ vādī-e-ḳhizāñ meñ bahr-e-rañg-o-bū
sahar ke giit gā rahe haiñ aur vaqt-e-shām hai
nazar meñ māh-o-kahkashāñ haiñ azmat-e-bashar nahīñ
qadam baḌhā rahe haiñ aur raah mo'tabar nahīñ
fareb-ḳhurda-e-chaman haiñ daam par nazar nahīñ
ḳhayāl-e-nazm-e-mai-kada nahīñ hai fikr-e-jām hai
milā vo iḳhtiyār jis pe bebasī hai ḳhanda-zan
vo raushnī milī ki jis pe tīrgī hai ḳhanda-zan
vo zindagī milī ki jis pe maut bhī hai ḳhanda-zan
ba-zid haiñ phir bhī kaj-nazar hayāt shād-kām hai
numā.ish-o-numūd-o-nañg-o-nām par nigāh hai!
jamāl-e-yār-o-jūebār-o-jām par nigāh hai
ba-nām-e-bandagī butān-e-bām par nigāh hai
shabāb-o-sher-o-shāhid-o-sharāb se hī kaam hai
agar yahī hai shā.erī to shā.erī harām hai
agar yahi hai shaeri to shaeri haram hai!
KHirad bhi zer-e-dam hai junun bhi zer-e-dam hai
hawas ka nam ishq hai talab KHudi ka nam hai
nazar udas dil malul ruh tishna-kaam hai
magar labon pe naghma-e-hayat shad-kaam hai
rahin-e-ariz-e-hasin asir-e-zulf-e-mushkbu!
nigah mein liye hue ghuTi ghuTi si justuju
bhaTak rahe hain wadi-e-KHizan mein bahr-e-rang-o-bu
sahar ke git ga rahe hain aur waqt-e-sham hai
nazar mein mah-o-kahkashan hain azmat-e-bashar nahin
qadam baDha rahe hain aur rah mo'tabar nahin
fareb-KHurda-e-chaman hain dam par nazar nahin
KHayal-e-nazm-e-mai-kada nahin hai fikr-e-jam hai
mila wo iKHtiyar jis pe bebasi hai KHanda-zan
wo raushni mili ki jis pe tirgi hai KHanda-zan
wo zindagi mili ki jis pe maut bhi hai KHanda-zan
ba-zid hain phir bhi kaj-nazar hayat shad-kaam hai
numaish-o-numud-o-nang-o-nam par nigah hai!
jamal-e-yar-o-juebar-o-jam par nigah hai
ba-nam-e-bandagi butan-e-baam par nigah hai
shabab-o-sher-o-shahid-o-sharab se hi kaam hai
agar yahi hai shaeri to shaeri haram hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 319)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.