agar ye zindagi tanha nahin hoti
agar ye zindagī tanhā nahīñ hotī
to is ko ḳhūb-sūrat phuul meñ tabdīl karne ke liye
katrā na jā saktā
kabhī is se koī kāġhaz kī kashtī joḌ kar
gahre samundar kī taraf bhejī na jā saktī
safar ke darmiyāñ aa.ī ik an-jānī sarā.e meñ
zarā se daam ke badle
ise haarā na jā saktā
agar ye zindagī tanhā nahīñ hotī
to is ko muḳhtalif TukḌoñ ke andar baañT kar
ham apnī marzī ke na un meñ rañg bhar sakte
baḌī miqdār meñ is ko
na ham email kar sakte
agar ye zindagī tanhā nahīñ hotī
to is ke ḳhūb-sūrat rañg
āvāra sī ik bārish meñ dho Daale na jā sakte
agar ye zindagī tanhā nahīñ hotī
to is ke fāltū TukḌe
muñDeroñ par parindoñ ke liye pheñke na jā sakte
agar ye zindagi tanha nahin hoti
to is ko KHub-surat phul mein tabdil karne ke liye
katra na ja sakta
kabhi is se koi kaghaz ki kashti joD kar
gahre samundar ki taraf bheji na ja sakti
safar ke darmiyan aai ek an-jaani sarae mein
zara se dam ke badle
ise haara na ja sakta
agar ye zindagi tanha nahin hoti
to is ko muKHtalif TukDon ke andar banT kar
hum apni marzi ke na un mein rang bhar sakte
baDi miqdar mein is ko
na hum email kar sakte
agar ye zindagi tanha nahin hoti
to is ke KHub-surat rang
aawara si ek barish mein dho Dale na ja sakte
agar ye zindagi tanha nahin hoti
to is ke faltu TukDe
munDeron par parindon ke liye phenke na ja sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.