agla safha
taḳhlīq ke ḳhumār meñ chuur
ek ḳhush-gavār moḌ meñ
us ne jab
be-hisāb logoñ ke nasīb meñ
ḳhushiyāñ likh Daalī hoñgī
be-shumār tab
us ne ruk kar
sochā hogā
tavāzun kī ḳhātir
kuchh to tabdīlī chāhiye
aur yuuñ us moḌ meñ
likh kar aglā nasīb
us ne jo palTā saf.ha
vo merā thā
taKHliq ke KHumar mein chur
ek KHush-gawar moD mein
us ne jab
be-hisab logon ke nasib mein
KHushiyan likh Dali hongi
be-shumar tab
us ne ruk kar
socha hoga
tawazun ki KHatir
kuchh to tabdili chahiye
aur yun us moD mein
likh kar agla nasib
us ne jo palTa safha
wo mera tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.