ahd-e-saza
ye ek ahd-e-sazā hai jazā kī baat na kar
duā se haath uThā rakh davā kī baat na kar
ḳhudā ke naam pe zālim nahīñ ye zulm ravā
mujhe jo chāhe sazā de ḳhudā kī baat na kar
hayāt ab to inhīñ mahbasoñ meñ guzregī
sitamgaroñ se koī iltijā kī baat na kar
unhī ke haath meñ patthar haiñ jin ko pyaar kiyā
ye dekh hashr hamārā vafā kī baat na kar
abhī to paa.ī hai maiñ ne rihā.ī rahzan se
bhaTak na jā.ūñ maiñ phir rahnumā kī baat na kar
bujhā diyā hai havā ne har ek dayā kā diyā
na DhūñD ahl-e-karam ko dayā kī baat na kar
nuzūl-e-habs huā hai falak se ai 'jālib'
ghuTā ghuTā hī sahī dam ghaTā kī baat na kar
ye ek ahd-e-saza hai jaza ki baat na kar
dua se hath uTha rakh dawa ki baat na kar
KHuda ke nam pe zalim nahin ye zulm rawa
mujhe jo chahe saza de KHuda ki baat na kar
hayat ab to inhin mahbason mein guzregi
sitamgaron se koi iltija ki baat na kar
unhi ke hath mein patthar hain jin ko pyar kiya
ye dekh hashr hamara wafa ki baat na kar
abhi to pai hai main ne rihai rahzan se
bhaTak na jaun main phir rahnuma ki baat na kar
bujha diya hai hawa ne har ek daya ka diya
na DhunD ahl-e-karam ko daya ki baat na kar
nuzul-e-habs hua hai falak se ai 'jalib'
ghuTa ghuTa hi sahi dam ghaTa ki baat na kar
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 275)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.