ahd-e-tifli
Interesting Fact
From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)
the dayār-e-nau zamīn-o-āsmāñ mere liye
vus.at-e-āġhosh mādar ik jahāñ mere liye
thī har ik jumbish nishān-e-lutf-e-jāñ mere liye
harf-e-be-matlab thī ḳhud merī zabāñ mere liye
dard-e-tiflī meñ agar koī rulātā thā mujhe
shorish-e-zanjīr-e-dar meñ lutf aatā thā mujhe
takte rahnā haa.e vo pahroñ talak sū-e-qamar
vo phaTe bādal meñ be-āvāz-pā us kā safar
pūchhnā rah rah ke us ke koh-o-sahrā kī ḳhabar
aur vo hairat daroġh-e-maslahat-āmez par
aañkh vaqf-e-dīd thī lab mā.il-e-guftār thā
dil na thā merā sarāpā zauq-e-istifsār thā
the dayar-e-nau zamin-o-asman mere liye
wusat-e-aghosh madar ek jahan mere liye
thi har ek jumbish nishan-e-lutf-e-jaan mere liye
harf-e-be-matlab thi KHud meri zaban mere liye
dard-e-tifli mein agar koi rulata tha mujhe
shorish-e-zanjir-e-dar mein lutf aata tha mujhe
takte rahna hae wo pahron talak su-e-qamar
wo phaTe baadal mein be-awaz-pa us ka safar
puchhna rah rah ke us ke koh-o-sahra ki KHabar
aur wo hairat darogh-e-maslahat-amez par
aankh waqf-e-did thi lab mail-e-guftar tha
dil na tha mera sarapa zauq-e-istifsar tha
- Book : کلیات اقبال (Pg. 25)
- Author : علامہ اقبال
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.