Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahd-e-wafa

Akhtarul Iman

ahd-e-wafa

Akhtarul Iman

MORE BYAkhtarul Iman

    yahī shāḳh tum jis ke nīche kisī ke liye chashm-e-nam ho yahāñ ab se kuchh saal pahle

    mujhe ek chhoTī bachchī milī thī jise maiñ ne āġhosh meñ le ke pūchā thā beTī

    yahāñ kyuuñ khaḌī ro rahī ho mujhe apne bosīda āñchal meñ phūloñ ke gahne dikhā kar

    vo kahne lagī merā sāthī udhar us ne uñglī uThā kar batāyā udhar us taraf

    jidhar ūñche mahloñ ke gumbad miloñ siyah chimniyāñ āsmāñ taraf sar uThā.e khaḌī haiñ

    ye kah kar gayā hai ki maiñ sone chāñdī ke gahne tire vāste lene jaatā huuñ 'rāmī'

    yahi shaKH tum jis ke niche kisi ke liye chashm-e-nam ho yahan ab se kuchh sal pahle

    mujhe ek chhoTi si bachchi mili thi jise main ne aaghosh mein le ke pucha tha beTi

    yahan kyun khaDi ro rahi ho mujhe apne bosida aanchal mein phulon ke gahne dikha kar

    wo kahne lagi mera sathi udhar us ne ungli uTha kar bataya udhar us taraf hi

    jidhar unche mahlon ke gumbad milon ki siyah chimniyan aasman ki taraf sar uThae khaDi hain

    ye kah kar gaya hai ki main sone chandi ke gahne tere waste lene jata hun 'rami'

    Source :
    • Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 247)
    • Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
    • Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
    • Edition : 2005

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now