ahl-e-dil ko bula raha hun
mujhe vadī.at huī hai
jab tak tumhārī āñkheñ
maqām-e-bīnā.ī tak na pahuñchīñ
safed kāġhaz kī raushnī ko
siyāh alfāz se musalsal chhupā.e rakhkhūñ
kahā gayā hai ye qaul bhī duuñ
jab āñkheñ ḳhīra na hoñgī
(yānī maqām-e-bīnā.ī par pahuñch jā.eñgī)
to kāġhaz siyāh karnā maiñ chhoḌ dūñgā
nafī-e-mau.ūd haiñ ye alfāz
asal isbāt chashm-e-bīnā
safed kāġhaz meñ paḌh rahī haiñ
ki harf-e-mau.ūd bhī yahī hai
maiñ sat.h-e-kāġhaz se apne alfāz uThā rahā huuñ
ahl-e-dil ko bulā rahā huuñ
mujhe wadiat hui hai
jab tak tumhaari aankhen
maqam-e-binai tak na pahunchin
safed kaghaz ki raushni ko
siyah alfaz se musalsal chhupae rakhkhun
kaha gaya hai ye qaul bhi dun
jab aankhen KHira na hongi
(yani maqam-e-binai par pahunch jaengi)
to kaghaz siyah karna main chhoD dunga
nafi-e-mauud hain ye alfaz
asal isbaat chashm-e-bina
safed kaghaz mein paDh rahi hain
ki harf-e-mauud bhi yahi hai
main sath-e-kaghaz se apne alfaz uTha raha hun
ahl-e-dil ko bula raha hun
- Book : Na Mau'ud (Pg. 76)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.