ahl-e-hunar se
Interesting Fact
(Adabiyat Funuun-e-Latifa) (Zarb-e-Kalim)
mehr-o-mah-o-mushtarī chand nafas kā faroġh
'ishq se hai pā.edār terī ḳhudī kā vujūd
tere haram kā zamīr asvad-o-ahmar se paak
nañg hai tere liye surḳh-o-saped-o-kabūd
terī ḳhudī kā ġhayāb mā'raka-e-zikr-o-fikr
terī ḳhudī kā huzūr 'ālam-e-she’r-o-surūd
ruuh agar hai tirī ranj-e-ġhulāmī se zaar
tere hunar kā jahāñ dair-o-tavāf-o-sujūd
aur agar bā-ḳhabar apnī sharāfat se ho
terī sipah ins-o-jinn tū hai amīr-e-junūud
mehr-o-mah-o-mushtari chand nafas ka farogh
'ishq se hai paedar teri KHudi ka wujud
tere haram ka zamir aswad-o-ahmar se pak
nang hai tere liye surKH-o-saped-o-kabud
teri KHudi ka ghayab ma'raka-e-zikr-o-fikr
teri KHudi ka huzur 'alam-e-she’r-o-surud
ruh agar hai teri ranj-e-ghulami se zar
tere hunar ka jahan dair-o-tawaf-o-sujud
aur agar ba-KHabar apni sharafat se ho
teri sipah ins-o-jinn tu hai amir-e-junuud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.