ahsan taqwim
bustān-e-vafā dahr meñ ābād hai ham se
din-rāt zamāne ko ḳhudā yaad hai ham se
tārīḳh-e-junūñ ḳhuun se kī ham ne nigārish
āfāq haiñ har masnad-e-irshād hai ham se
raushan kiyā zulmāt meñ qindīl-e-hunar ko
sahrā meñ chaman nuur kā ābād hai ham se
ham jannat-e-parvez ke haiñ husn-e-tafāḳhur
shīrīñ kī talab taisha-e-farhād hai ham se
sāñche meñ ġham-o-dard ke insān ko Dhālā
shahkār-e-jahāñ-sāz bhī ījād hai ham se
ḳhvābīda shabistāñ meñ azaañ ham ne pukārī
īmān-sarā dahr kā ābād hai ham se
ham shahr-e-tafalsuf meñ haiñ tadrīs kī tanvīr
shamshīr ba-kaf bāzū-e-faulād hai ham se
ta.amīr kiyā teshā-e-fan se chaman-e-dahr
tanqīd-e-haq-āsār bhī ījād hai ham se
me.amār-e-yaqīñ-sāz haiñ darvesh ke ādāb
baaqī abhī ta.alīm-e-ḳhudā-dād hai ham se
iḳhlās ke motī se bharā dāman-e-aġhyār
iqlīm-e-jahāñ meñ adl-o-rād hai ham se
aivān-e-zar-o-sīm meñ mahshar huā barpā
ḳhā.if hama-tan lashkar-e-shaddād hai ham se
māhaul-e-zamāna hai alamnāk-o-jigar-doz
qaa.em vale kuchh rahmat-e-javvād hai ham se
sar-bāzī-e-paiham se hai gulzār murattab
sar-chashma-e-anvār kī buniyād hai ham se
ham ahsan-e-taqvīm ke haiñ boltī tafsīr
rañgīn-e-dil-e-getī kī rūdād hai ham se
baḳhshī hai ġhulāmoñ ko bhī ahrār kī jur.at
duniyā kā giraftār bhī āzād hai ham se
ham miT ga.e duniyā se to duniyā nahīñ hogī
har zarra hai raushan to jahāñ shaad hai ham se
ilhād kī zulmat se zamāne ko nikālā
aslāf kī mahfil abhī ābād hai ham se
sar-mastī-e-kirdār se raḳhshanda hai āfāq
mahfūz abhī maḳhzan-e-ajdād hai ham se
tahzīb-o-tamaddun kā sabaq ham ne paḌhāyā
har husn-e-jahāñ-sāz kī ījād hai ham se
'bebāk' kahāñ gosh-bar-āvāz zamāna
kuchh millat-e-ma.asūm kī fariyād hai ham se
bustan-e-wafa dahr mein aabaad hai hum se
din-raat zamane ko KHuda yaad hai hum se
tariKH-e-junun KHun se ki hum ne nigarish
aafaq hain har masnad-e-irshad hai hum se
raushan kiya zulmat mein qindil-e-hunar ko
sahra mein chaman nur ka aabaad hai hum se
hum jannat-e-parwez ke hain husn-e-tafaKHur
shirin ki talab taisha-e-farhad hai hum se
sanche mein gham-o-dard ke insan ko Dhaala
shahkar-e-jahan-saz bhi ijad hai hum se
KHwabida shabistan mein azan hum ne pukari
iman-sara dahr ka aabaad hai hum se
hum shahr-e-tafalsuf mein hain tadris ki tanwir
shamshir ba-kaf bazu-e-faulad hai hum se
tamir kiya tesha-e-fan se chaman-e-dahr
tanqid-e-haq-asar bhi ijad hai hum se
meamar-e-yaqin-saz hain darwesh ke aadab
baqi abhi talim-e-KHuda-dad hai hum se
iKHlas ke moti se bhara daman-e-aghyar
iqlim-e-jahan mein adl-o-rad hai hum se
aiwan-e-zar-o-sim mein mahshar hua barpa
KHaif hama-tan lashkar-e-shaddad hai hum se
mahaul-e-zamana hai alamnak-o-jigar-doz
qaem wale kuchh rahmat-e-jawwad hai hum se
sar-bazi-e-paiham se hai gulzar murattab
sar-chashma-e-anwar ki buniyaad hai hum se
hum ahsan-e-taqwim ke hain bolti tafsir
rangin-e-dil-e-geti ki rudad hai hum se
baKHshi hai ghulamon ko bhi ahrar ki jurat
duniya ka giraftar bhi aazad hai hum se
hum miT gae duniya se to duniya nahin hogi
har zarra hai raushan to jahan shad hai hum se
ilhad ki zulmat se zamane ko nikala
aslaf ki mahfil abhi aabaad hai hum se
sar-masti-e-kirdar se raKHshanda hai aafaq
mahfuz abhi maKHzan-e-ajdad hai hum se
tahzib-o-tamaddun ka sabaq hum ne paDhaya
har husn-e-jahan-saz ki ijad hai hum se
'bebak' kahan gosh-bar-awaz zamana
kuchh millat-e-masum ki fariyaad hai hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.