ahwal ek safar ka
ajnabī sabza-zāroñ meñ
hadd-e-nazar tak banafsha ke phuul
ajnabī to nahīñ the na haiñ
vo to rāh-e-safar ke ujāle bhī the
ham-safar bhī lage
dāstāneñ sunāte bhī the
aur sunte bhī the
ab ke mausam tumheñ yaad karte rahe
aur maiñ chup rahī
ajnabi sabza-zaron mein
hadd-e-nazar tak banafsha ke phul
ajnabi to nahin the na hain
wo to rah-e-safar ke ujale bhi the
ham-safar bhi lage
dastanen sunate bhi the
aur sunte bhi the
ab ke mausam tumhein yaad karte rahe
aur main chup rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.