ahya
asā-e-mūsā
añdherī rātoñ kī ek tajsīm munjamid
jis meñ haal ik nuqtā-e-sukūnī
na koī harkat na koī raftār
jab āsmānoñ se aag barsī
to barf pighlī
dhuāñ sā niklā
asā meñ harkat huī
to mahbūs naag niklā
vo ek sayyāl lamha
jo munjamid paḌā thā
baḌhā
jhapaT kar
ḳhizāñ-rasīda shajar kī sab ḳhushk Tahniyoñ ko nigal gayā
asa-e-musa
andheri raaton ki ek tajsim munjamid
jis mein haal ek nuqta-e-sukuni
na koi harkat na koi raftar
jab aasmanon se aag barsi
to barf pighli
dhuan sa nikla
asa mein harkat hui
to mahbus nag nikla
wo ek sayyal lamha
jo munjamid paDa tha
baDha
jhapaT kar
KHizan-rasida shajar ki sab KHushk Tahniyon ko nigal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.