ai baad-e-saba
ai bād-e-sabā
mahbūb se milne jaanā hai
paiġhām mirā pahuñchānā hai
par hadd-e-adab lāzim rakhnā
vo shoḳh javāñ gar ḳhvāb meñ ho
dhīre se zulfeñ sahlānā
bedār agar vo ho jaa.e
to kahnā salām-e-shauq mirā
phir kahnā ki dīvānī maiñ
palkoñ ko bichhā.e baiThī huuñ
milne ko bahut betāb huuñ maiñ
aur niiñd agar kuchh gahrī ho
palkoñ ko haule se chhūnā
ruḳhsār thapak denā un ke
dīvār-o-dar par likh denā
ai jān-e-ġhazal maiñ zinda huuñ
bas aap kī diid kī ḳhātir ab
ai baad-e-saba
mahbub se milne jaana hai
paigham mera pahunchana hai
par hadd-e-adab lazim rakhna
wo shoKH jawan gar KHwab mein ho
dhire se zulfen sahlana
bedar agar wo ho jae
to kahna salam-e-shauq mera
phir kahna ki diwani main
palkon ko bichhae baiThi hun
milne ko bahut betab hun main
aur nind agar kuchh gahri ho
palkon ko haule se chhuna
ruKHsar thapak dena un ke
diwar-o-dar par likh dena
ai jaan-e-ghazal main zinda hun
bas aap ki did ki KHatir ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.