ai baad-e-saba chal
yuuñ aa.e haiñ ghir ghir ke ye dukh-dard ke bādal
tārīk fazāoñ meñ ghulā jaise ho kājal
bechain haiñ be-tāb haiñ be-ās haiñ bekal
lahrā de zarā aa ke tū ummīd kā āñchal
ai bād-e-sabā bād-e-sabā bād-e-sabā chal
gulshan meñ na vo rañg na vo ruup rahā hai
ġhunche kī na ab aañkh meñ vo kaif bharā hai
kab phuul ke siine meñ dhaḌakne kī sadā hai
sannāTā sā sannāTā hai harakat hai na halchal
ai bād-e-sabā bād-e-sabā bād-e-sabā chal
kāñToñ se hai sad-chāk har ik gul kā garebāñ
har samt se hai bijliyoñ kī zad meñ gulistāñ
soyā hai abhī taan ke chaukhaT pe nigahbāñ
Dastī hai savere ko siyah-rāt har ik pal
ai bād-e-sabā bād-e-sabā bād-e-sabā chal
tū aa.e to gulshan kā hasīñ chehra nikhar jaa.e
har ġhuncha mahak jaa.e har ek pattā sañvar jaa.e
kumhlā.e se phūloñ kā bhī kuchh haal sudhar jaa.e
baaqī rahe qismat meñ koī ḳham na koī bal
ai bād-e-sabā bād-e-sabā bād-e-sabā chal
tū aa.e to phir kaif-o-masarrat kī fazā aa.e
is ḳhaak meñ jiine kā aur marne kā maza aa.e
sīnoñ meñ umañg uTThe to phir josh nayā aa.e
aur raat ke chehre pe Dhalak jaa.e phir āñchal
ai bād-e-sabā bād-e-sabā bād-e-sabā chal
aa jā ki zarā shaġhl-e-mai-o-jām kareñge
kuchh tazkira-e-yār-e-dil-ārām kareñge
rañgīn har ik sub.h har ik shaam kareñge
aur naġhme suneñge hasīñ-o-shoḳh aur chanchal
ai bād-e-sabā bād-e-sabā bād-e-sabā chal
ai bād-e-sabā chal
yun aae hain ghir ghir ke ye dukh-dard ke baadal
tarik fazaon mein ghula jaise ho kajal
bechain hain be-tab hain be-as hain bekal
lahra de zara aa ke tu ummid ka aanchal
ai baad-e-saba baad-e-saba baad-e-saba chal
gulshan mein na wo rang na wo rup raha hai
ghunche ki na ab aankh mein wo kaif bhara hai
kab phul ke sine mein dhaDakne ki sada hai
sannaTa sa sannaTa hai harakat hai na halchal
ai baad-e-saba baad-e-saba baad-e-saba chal
kanTon se hai sad-chaak har ek gul ka gareban
har samt se hai bijliyon ki zad mein gulistan
soya hai abhi tan ke chaukhaT pe nigahban
Dasti hai sawere ko siyah-raat har ek pal
ai baad-e-saba baad-e-saba baad-e-saba chal
tu aae to gulshan ka hasin chehra nikhar jae
har ghuncha mahak jae har ek patta sanwar jae
kumhlae se phulon ka bhi kuchh haal sudhar jae
baqi rahe qismat mein koi KHam na koi bal
ai baad-e-saba baad-e-saba baad-e-saba chal
tu aae to phir kaif-o-masarrat ki faza aae
is KHak mein jine ka aur marne ka maza aae
sinon mein umang uTThe to phir josh naya aae
aur raat ke chehre pe Dhalak jae phir aanchal
ai baad-e-saba baad-e-saba baad-e-saba chal
aa ja ki zara shaghl-e-mai-o-jam karenge
kuchh tazkira-e-yar-e-dil-aram karenge
rangin har ek subh har ek sham karenge
aur naghme sunenge hasin-o-shoKH aur chanchal
ai baad-e-saba baad-e-saba baad-e-saba chal
ai baad-e-saba chal
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 99)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.