ai dil-e-afsurda
ai dil-e-afsurda piine kī bahāreñ aa ga.iiñ
kaalī kaalī badliyāñ phir āsmāñ par chhā ga.iiñ
dāman-e-kohsār se ThanDī havā aane lagī
nabz-e-ḳhas meñ zindagī kā ḳhuun dauḌāne lagī
motiye ke phuul gulzāroñ meñ lahrāne lage
lāla-o-nasrīñ ke jalve rang par aane lage
hai kanār-e-āb-e-dariyā māh-pāroñ kā hujūm
jis tarah shādāb rātoñ meñ sitāroñ kā hujūm
kaale kaale āñchaloñ meñ un ke chehre nūr-pāsh
gahre gahre bādaloñ meñ bijliyoñ kā irti.āsh
gul-badan gul-pairahan mahtāb-ruḳh nāz-āfrīñ
dilrubā.ī kī adākārī meñ e.ajāz-āfrīñ
kuchh lagāvaT kuchh hayā kuchh shoḳhiyāñ kuchh iztirāb
apne saa.e se gurezāñ apne saa.e se hijāb
dilbarī ke sab tarīqe sādgī ke rang haiñ
sādgī ke sab tarīqe dilbarī ke rang haiñ
ai dil-e-afsurda ai kam-baḳht ai hasrat-nasīb
ai fareb-e-husn ke pāmāl ai furqat-nasīb
tū hai aur us be-vafā kī bevafā.ī ke gile
bevafā.ī ke gile dard-e-judā.ī ke gile
har taraf ik ālam-e-kaif-o-tarab chhāyā huā
aur tū ai bad-nasīb-e-shauq murjhāyā huā
kaise kaise mah-jabīñ haiñ nūr-paikar barq-tāb
dil-navāzī ke liye betāb hai jin kā shabāb
in hasīnoñ ke ishārāt-e-mohabbat dil-faroz
jin ke jalve dilrubā haiñ jin kī tal.at dil-faroz
dilbarī ke kaise kaise nukta-dāñ maujūd haiñ
sajda karnā ho to kitne āstāñ maujūd haiñ
ai dil-e-afsurda pine ki bahaaren aa gain
kali kali badliyan phir aasman par chha gain
daman-e-kohsar se ThanDi hawa aane lagi
nabz-e-KHas mein zindagi ka KHun dauDane lagi
motiye ke phul gulzaron mein lahrane lage
lala-o-nasrin ke jalwe rang par aane lage
hai kanar-e-ab-e-dariya mah-paron ka hujum
jis tarah shadab raaton mein sitaron ka hujum
kale kale aanchalon mein un ke chehre nur-pash
gahre gahre baadalon mein bijliyon ka irtiash
gul-badan gul-pairahan mahtab-ruKH naz-afrin
dilrubai ki adakari mein eajaz-afrin
kuchh lagawaT kuchh haya kuchh shoKHiyan kuchh iztirab
apne sae se gurezan apne sae se hijab
dilbari ke sab tariqe sadgi ke rang hain
sadgi ke sab tariqe dilbari ke rang hain
ai dil-e-afsurda ai kam-baKHt ai hasrat-nasib
ai fareb-e-husn ke pamal ai furqat-nasib
tu hai aur us be-wafa ki bewafai ke gile
bewafai ke gile dard-e-judai ke gile
har taraf ek aalam-e-kaif-o-tarab chhaya hua
aur tu ai bad-nasib-e-shauq murjhaya hua
kaise kaise mah-jabin hain nur-paikar barq-tab
dil-nawazi ke liye betab hai jin ka shabab
in hasinon ke ishaaraat-e-mohabbat dil-faroz
jin ke jalwe dilruba hain jin ki talat dil-faroz
dilbari ke kaise kaise nukta-dan maujud hain
sajda karna ho to kitne aastan maujud hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.