ai dil-e-be-qarar dekh
dāman-e-lāla-zār meñ
ālam-e-pur-bahār dekh
kalla-e-kohsār par
jalva-e-zar-nigār dekh
āb-e-ravāñ kī baat kyā
ḳhaak pe hai nikhār dekh
ai dil-e-be-qarār dekh
dekh nashāt baaġh meñ
jalva-e-sub.h kā samāñ
kaif o nashāt hai zamīñ
nuur o surūr āsmāñ
aah ye manzar-e-jamīl
haa.e ye jāñ-fazā samāñ
auj-e-falak se hai ravāñ
nuur kā ābshār dekh
ai dil-e-be-qarār dekh
dhaar ke kashtiyoñ kā ruup
''dull'' pe ravāñ hai zindagī
chaar taraf fazāoñ meñ
itr-fashāñ hai zindagī
bād-e-dazāñ hai zindagī
shola-ba-jāñ hai zindagī
charḳh-e-taḳhaiyyulāt par
kāhkashāñ hai zindagī
chehra-ba-chehra rū-ba-rū
husn kā ye nikhār dekh
ai dil-e-be-qarār dekh
ḳhvāh ''volar'' kī jhiil hai
ḳhvāh fazā-e-pahl-gām
ek se baḌh ke ek hai
jo bhī nazar meñ hai maqām
dekh ki un fazāoñ meñ
phuul sharāb ke haiñ jaam
ghaas hai farsh-e-maḳhmalīñ
zarre haiñ āsmāñ-maqām
aur nahīñ tujhe nasīb
ek bhī lamhe kā qayām
mauj-e-nashīm-e-sub.h se
raaz ye āshkār dekh
ai dil-e-be-qarār dekh
daman-e-lala-zar mein
aalam-e-pur-bahaar dekh
kalla-e-kohsar par
jalwa-e-zar-nigar dekh
aab-e-rawan ki baat kya
KHak pe hai nikhaar dekh
ai dil-e-be-qarar dekh
dekh nashat bagh mein
jalwa-e-subh ka saman
kaif o nashat hai zamin
nur o surur aasman
aah ye manzar-e-jamil
hae ye jaan-faza saman
auj-e-falak se hai rawan
nur ka aabshaar dekh
ai dil-e-be-qarar dekh
dhaar ke kashtiyon ka rup
dull pe rawan hai zindagi
chaar taraf fazaon mein
itr-fashan hai zindagi
baad-e-dazan hai zindagi
shola-ba-jaan hai zindagi
charKH-e-taKHaiyyulat par
kahkashan hai zindagi
chehra-ba-chehra ru-ba-ru
husn ka ye nikhaar dekh
ai dil-e-be-qarar dekh
KHwah wolar ki jhil hai
KHwah faza-e-pahl-gam
ek se baDh ke ek hai
jo bhi nazar mein hai maqam
dekh ki un fazaon mein
phul sharab ke hain jam
ghas hai farsh-e-maKHmalin
zarre hain aasman-maqam
aur nahin tujhe nasib
ek bhi lamhe ka qayam
mauj-e-nashim-e-subh se
raaz ye aashkar dekh
ai dil-e-be-qarar dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.