baisakhi
mirī nazroñ meñ
ā.inda ke afsos ke saa.e larzāñ haiñ
mujhe qaid-e-ḳhauf se rihā karo
maiñ apne dard kī nañgī dhuup se
ghanī tasallī maañg maañg ke haar gayā
ai dard mirā faisla karo
mirī ḳhālī āñkheñ
manzar manzar bhaTak rahī
laḌkhaḌā rahī haiñ
dayā karo
mujhe ḳhvāboñ kī baisākhī do
meri nazron mein
aainda ke afsos ke sae larzan hain
mujhe qaid-e-KHauf se riha karo
main apne dard ki nangi dhup se
ghani tasalli mang mang ke haar gaya
ai dard mera faisla karo
meri KHali aankhen
manzar manzar bhaTak rahi
laDkhaDa rahi hain
daya karo
mujhe KHwabon ki baisakhi do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.