ai farangi
Interesting Fact
is kavitaa ke parkaashit hone par is ke lekhak mela ram 'vafaa' par bhaarat kii angrez sarkaar ne muqaddama chalaayaa jis me.n 'vafaa' saahib ko do saal qaid-e-saKHt kii sazaa hu.ii
ai farañgī kabhī sochā hai ye dil meñ tū ne
aur ye soch ke kuchh tujh ko hayā bhī aa.ī
nā-mubārak thā bahut hind meñ aanā terā
qaht aayā tere ham-rāh vabā bhī aa.ī
tere qadmoñ se lagī aa.ī ġhulāmī zālim
saath hī us ke ġharīboñ kī balā bhī aa.ī
ban ga.ī bād-e-sumūm aah asar se tere
is chaman meñ jo kabhī bād-e-sabā bhī aa.ī
terī culture meñ chamak to hai magar is meñ nazar
kabhī kuchh roshnī-e-sidq-o-safā bhī aa.ī
yahī culture sabab-e-pastī-e-aḳhlāq huī
hindiyoñ meñ isī culture se riyā bhī aa.ī
jā-e-shukr is meñ shikāyāt tirī be-dād kī thī
ġham-nasīboñ ko agar yād-e-ḳhudā bhī aa.ī
terī sañgīneñ chamakne lagīñ saḌkoñ pe jūñ-hī
lab pe mazlūmoñ ke fariyād zarā bhī aa.ī
dard-e-iflās kā nezoñ se kiyā to ne ilaaj
maut ban kar tere hāthoñ meñ shifā bhī aa.ī
is ravish par kabhī ai bānī-e-be-dād tujhe
dil ke andar se malāmat kī sadā bhī aa.ī
ai farangi kabhi socha hai ye dil mein tu ne
aur ye soch ke kuchh tujh ko haya bhi aai
na-mubarak tha bahut hind mein aana tera
qaht aaya tere ham-rah waba bhi aai
tere qadmon se lagi aai ghulami zalim
sath hi us ke gharibon ki bala bhi aai
ban gai baad-e-sumum aah asar se tere
is chaman mein jo kabhi baad-e-saba bhi aai
teri culture mein chamak to hai magar is mein nazar
kabhi kuchh roshni-e-sidq-o-safa bhi aai
yahi culture sabab-e-pasti-e-aKHlaq hui
hindiyon mein isi culture se riya bhi aai
ja-e-shukr is mein shikayat teri be-dad ki thi
gham-nasibon ko agar yaad-e-KHuda bhi aai
teri sanginen chamakne lagin saDkon pe jun-hi
lab pe mazlumon ke fariyaad zara bhi aai
dard-e-iflas ka nezon se kiya to ne ilaj
maut ban kar tere hathon mein shifa bhi aai
is rawish par kabhi ai bani-e-be-dad tujhe
dil ke andar se malamat ki sada bhi aai
- Book : Sang-e-Meel (Pg. 11)
- Author : Mela Ram
- Publication : Darpan Publication Subhash Nagar, Pathankot, Punjab (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.