ai gham-e-dil kya karun
Interesting Fact
The nazm was written in 1958 when martial law was imposed
itnī guzrī hai girāñ chīzoñ kī arzānī mujhe
ho gayā hai taaza saudā-e-ġhazal-ḳhvānī mujhe
duudh meñ bilkul nazar aatā nahīñ paanī mujhe
dil ne kar rakkhā hai mahv-e-sad-pareshānī mujhe
''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
kaam dhandā kuchh nahīñ dil kis tarah bahlāūñ maiñ
kyuuñ na leader ban ke saarī qaum ko bahkā.ūñ maiñ
jab nahīñ dhandā to chandā hī karūñ aur khā.ūñ maiñ
scrēning kī kametī ke na haath aa jā.ūñ maiñ
''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
kyuuñ na editor banūñ aḳhbār-e-gauhar-bār kā
aur qalam ko ruup duuñ chaltī huī talvār kā
haath meñ shamla ho sab ashrāf kī dastār kā
marshal-law meñ magar pahlā hai TukḌā maar kā
''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
sochtā huuñ phir ki haj kar aa.uuñ smuggler banūñ
māl-e-dīn o māl-e-duniyā kā baḌā dealer banūñ
mulk ke andar banūñ yā mulk ke bāhar banūñ
al-ġharaz jo kuchh banūñ maiñ fauj se bach kar banūñ
''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
kyā ḳhabar thī qīmateñ yuuñ hoñgī sastī ek din
''rañg lā.egī hamārī fāqa-mastī ek din''
chor-bāzārī kī miT jā.egī hastī ek din
hogī chevrolet pe bhī to-let kī taḳhtī ek din
''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
bahr ke siine se sonā tak ugalvāyā gayā
gandum-e-ḳhalvat-nashīñ bāzār meñ laayā gayā
aur zaḳhīra-bāz se chakkī meñ pisvāyā gayā
naf.a-ḳhoroñ kā divāla tak nikalvāyā gayā
''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
haa.e kashkol-e-gadā.ī le ke ab jā.egā kaun
laal gandum lā ke ham kāloñ ko khilvā.egā kaun
jis ko amrīcī suar khāte the vo khā.egā kaun
saath meñ gandum ke mister ghun ko pisvā.egā kaun
''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
ġhair-mulkī maal ko rotī haiñ ab tak bībayāñ
aur har import ke licence ko un ke miyāñ
ġhair bankoñ meñ jo daulat hai vo aa.egī yahāñ
''yād thiiñ ham ko bhī rañgā-rañg bazm-ārā.iyāñ''
''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
yā maiñ sab kuchh chhoḌ duuñ aur chor-bāzārī karūñ
zindagī kī film meñ aisī adākārī karūñ
donoñ hāthoñ se kamā kar uzr-e-nādārī karūñ
jab hukūmat tex māñge aah aur zaarī karūñ
''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
itni guzri hai giran chizon ki arzani mujhe
ho gaya hai taza sauda-e-ghazal-KHwani mujhe
dudh mein bilkul nazar aata nahin pani mujhe
dil ne kar rakkha hai mahw-e-sad-pareshani mujhe
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
kaam dhanda kuchh nahin dil kis tarah bahlaun main
kyun na leader ban ke sari qaum ko bahkaun main
jab nahin dhanda to chanda hi karun aur khaun main
screening ki kameti ke na hath aa jaun main
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
kyun na editor banun aKHbar-e-gauhar-bar ka
aur qalam ko rup dun chalti hui talwar ka
hath mein shamla ho sab ashraf ki dastar ka
marshal-law mein magar pahla hai TukDa mar ka
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
sochta hun phir ki haj kar aaun smuggler banun
mal-e-din o mal-e-duniya ka baDa dealer banun
mulk ke andar banun ya mulk ke bahar banun
al-gharaz jo kuchh banun main fauj se bach kar banun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
kya KHabar thi qimaten yun hongi sasti ek din
rang laegi hamari faqa-masti ek din
chor-bazari ki miT jaegi hasti ek din
hogi chewrolet pe bhi to-let ki taKHti ek din
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
bahr ke sine se sona tak ugalwaya gaya
gandum-e-KHalwat-nashin bazar mein laya gaya
aur zaKHira-baz se chakki mein piswaya gaya
nafa-KHoron ka diwala tak nikalwaya gaya
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
hae kashkol-e-gadai le ke ab jaega kaun
lal gandum la ke hum kalon ko khilwaega kaun
jis ko amrici suar khate the wo khaega kaun
sath mein gandum ke mister ghun ko piswaega kaun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
ghair-mulki mal ko roti hain ab tak bibayan
aur har import ke licence ko un ke miyan
ghair bankon mein jo daulat hai wo aaegi yahan
yaad thin hum ko bhi ranga-rang bazm-araiyan
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
ya main sab kuchh chhoD dun aur chor-bazari karun
zindagi ki film mein aisi adakari karun
donon hathon se kama kar uzr-e-nadari karun
jab hukumat tex mange aah aur zari karun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
- Book : Shokhi-e-Tahrir (Pg. 120)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Malik Norani, Maktaba Daniyal Viktoria Chaimber, 20, Abdullah Haroon Road, Sadar Krachi (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.