ai ham-nafasan
bulldozer qadmoñ se chaltī
colony baktar-band na.ī
behad tausī.a ke sahrā meñ
kyā sūñgh rahī hai suuñD uThā.e
aadam bū
āñkheñ palkeñ jhapkāte rahne par māmūr us kī
be-vaqfa-e-ḳhvāb
signal kī battī jaltī bujhtī sadā
din ho yā raat
sansanī-zada har khaTke par a.asāb
shāhid aa hī gayā
aane vaalā yaum-e-hisāb
harba meñ ḳhud apne
muhārib kā
yuuñ Dhal jaanā
ḳhud ko kho kar ġhalba paanā
ai dīda-e-ibrat-bīñ
ek turfa-tamāshā hai
masnūī mashīnī duniyā meñ
masnūī mashīnī jiit aur haar
jab tak tum tum ho
kuchh nahīñ khoyā ham ne
ai ham-nafsān-e-jafā-dīda
ai ham-nafsān-e-hazīñ
jab tak tum tum ho
ādam-zād yahāñ
har jabr ke madd-e-muqābil hai
sarmast azal āzād
ḳhush-bāsh niDar pākīza nihād
tum ālam-e-ḳhvāb ke baaz ashhab
kibriyat-e-ahmar nāyāb
phir bhī dhārā sā tumhāre dam se
chāhat ke armānoñ kā
bahtā rahtā hai diloñ meñ
tumhāre hote
rezā-rez na ho pā.eñgī yahāñ
husn-o-ḳhūbī kī ye ta.abīrāt
suhānī ujlī ta.amīrāt
bā-raunaq jin se
sharq-o-ġharb ye bazm-e-jihāt
bulldozer qadmon se chalti
colony baktar-band nai
behad tausia ke sahra mein
kya sungh rahi hai sunD uThae
aadam bu
aankhen palken jhapkate rahne par mamur us ki
be-waqfa-e-KHwab
signal ki batti jalti bujhti sada
din ho ya raat
sansani-zada har khaTke par aasab
shahid aa hi gaya
aane wala yaum-e-hisab
harba mein KHud apne
muhaarib ka
yun Dhal jaana
KHud ko kho kar ghalba pana
ai dida-e-ibrat-bin
ek turfa-tamasha hai
masnui mashini duniya mein
masnui mashini jit aur haar
jab tak tum tum ho
kuchh nahin khoya hum ne
ai ham-nafsan-e-jafa-dida
ai ham-nafsan-e-hazin
jab tak tum tum ho
aadam-zad yahan
har jabr ke madd-e-muqabil hai
sarmast azal aazad
KHush-bash niDar pakiza nihad
tum aalam-e-KHwab ke baz ashhab
kibriyat-e-ahmar nayab
phir bhi dhaara sa tumhaare dam se
chahat ke armanon ka
bahta rahta hai dilon mein
tumhaare hote
reza-rez na ho paengi yahan
husn-o-KHubi ki ye tabiraat
suhani ujli tamiraat
ba-raunaq jin se
sharq-o-gharb ye bazm-e-jihat
- Book : Silsila-e-makalmat (Pg. 186)
- Author : Shafique Fatma Shora
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.