ai hijr-zada shab
ai hijr-zada shab
aa tū hī mire siine se lag jā ki bate ġham
ehsās ko tanhā.ī kī manzil se mile rah
āvāz kī gumnām zamīnoñ ko mile nam
aa kuchh to ghaTe ġham
is sā.at-e-mahjūr kī fariyād ho maddham
kyuuñ nauha-ba-lb phirtī hai mahrūm-e-muḳhātab
ai hijr-zada shab
dekh aaj tamannāoñ kī be-samt havā.eñ
dil-e-sharminda-nazar ko
phir le ke chalī haiñ vahī be-raḳht havā.eñ
usī jaadū ke nagar ko
jis ḳhaak pe utre the murādoñ ke sahīfe
sankī thī jahāñ sabz havā, kū-e-vafā kī
mahke the jahāñ phūl-sifat rañg kisī ke
us ḳhaak kā har ruup mire vāste zindān
kuchh rūThe hue ḳhvāb haiñ kuchh TuuTe hue maan
kuchh barse hue abr haiñ kuchh tarse hue lab
ai hijr-zada shab
aa tū hī gale lag ke batā kaun yahāñ hai
juz ḳhud-sarī-e-mauj-e-havā kaun yahāñ hai
hamdard mirā tere sivā kaun yahāñ hai
aa chuum luuñ āñkheñ tirī ruḳhsār tire lab
ai hijr-zada shab
ai hijr-zada shab
aa tu hi mere sine se lag ja ki bate gham
ehsas ko tanhai ki manzil se mile rah
aawaz ki gumnam zaminon ko mile nam
aa kuchh to ghaTe gham
is saat-e-mahjur ki fariyaad ho maddham
kyun nauha-ba-lb phirti hai mahrum-e-muKHatab
ai hijr-zada shab
dekh aaj tamannaon ki be-samt hawaen
dil-e-sharminda-nazar ko
phir le ke chali hain wahi be-raKHt hawaen
usi jadu ke nagar ko
jis KHak pe utre the muradon ke sahife
sanki thi jahan sabz hawa, ku-e-wafa ki
mahke the jahan phul-sifat rang kisi ke
us KHak ka har rup mere waste zindan
kuchh ruThe hue KHwab hain kuchh TuTe hue man
kuchh barse hue abr hain kuchh tarse hue lab
ai hijr-zada shab
aa tu hi gale lag ke bata kaun yahan hai
juz KHud-sari-e-mauj-e-hawa kaun yahan hai
hamdard mera tere siwa kaun yahan hai
aa chum lun aankhen teri ruKHsar tere lab
ai hijr-zada shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.