ai ishq hamein barbaad na kar
ai ishq na chheḌ aa aa ke hameñ ham bhūle huoñ ko yaad na kar
pahle hī bahut nāshād haiñ ham tū aur hameñ nāshād na kar
qismat kā sitam hī kam nahīñ kuchh ye taaza sitam ījād na kar
yuuñ zulm na kar be-dād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
jis din se mile haiñ donoñ kā sab chain gayā ārām gayā
chehroñ se bahār-e-sub.h ga.ī ā.ankhoñ se faroġh-e-shām gayā
hāthoñ se ḳhushī kā jaam chhuTā hoñToñ se hañsī kā naam gayā
ġhamgīñ na banā nāshād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
ham rātoñ ko uTh kar rote haiñ ro ro ke duā.eñ karte haiñ
ā.ankhoñ meñ tasavvur dil meñ ḳhalish sar dhunte haiñ aa.heñ bharte haiñ
ai ishq ye kaisā rog lagā jiite haiñ na zālim marte haiñ
ye zulm tū ai jallād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
ye rog lagā hai jab se hameñ ranjīda huuñ maiñ bīmār hai vo
har vaqt tapish har vaqt ḳhalish be-ḳhvāb huuñ maiñ bedār hai vo
jiine pe idhar bezār huuñ maiñ marne pe udhar tayār hai vo
aur zabt kahe fariyād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
jis din se bañdhā hai dhyān tirā ghabrā.e hue se rahte haiñ
har vaqt tasavvur kar kar ke sharmā.e hue se rahte haiñ
kumhlā.e hue phūloñ kī tarah kumhlā.e hue se rahte haiñ
pāmāl na kar barbād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
bedard! zarā insāf to kar is umr meñ aur maġhmūm hai vo
phūloñ kī tarah nāzuk hai abhī tāroñ kī tarah ma.asūm hai vo
ye husn sitam! ye rañj ġhazab! majbūr huuñ maiñ mazlūm hai vo
mazlūm pe yuuñ be-dād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
ai ishq ḳhudārā dekh kahīñ vo shoḳh-e-hazīñ bad-nām na ho
vo māh-laqā bad-nām na ho vo zohra-jabīñ bad-nām na ho
nāmūs kā us ke paas rahe vo parda-nashīñ bad-nām na ho
us parda-nashīñ ko yaad na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
ummīd kī jhūTī jannat ke rah rah ke na dikhlā ḳhvāb hameñ
ā.inda kī farzī ishrat ke va.adoñ se na kar betāb hameñ
kahtā hai zamāna jis ko ḳhushī aatī hai nazar kamyāb hameñ
chhoḌ aisī ḳhushī ko yaad na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
kyā samjhe the aur tū kyā niklā ye soch ke hī hairān haiñ ham
hai pahle-pahal kā tajraba aur kam-umr haiñ ham anjān haiñ ham
ai ishq! ḳhudārā! rahm-o-karam ma.asūm haiñ ham nādān haiñ ham
nādān haiñ ham nāshād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
vo raaz hai ye ġham aah jise pā jaa.e koī to ḳhair nahīñ
ā.ankhoñ se jab aañsū bahte haiñ aa jaa.e koī to ḳhair nahīñ
zālim hai ye duniyā dil ko yahāñ bhā jaa.e koī to ḳhair nahīñ
hai zulm magar fariyād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
do din hī meñ ahd-e-tiflī ke ma.asūm zamāne bhuul ga.e
ā.ankhoñ se vo ḳhushiyāñ miT sī ga.iiñ lab ko vo tarāne bhuul ga.e
un paak bahishtī ḳhvāboñ ke dilchasp fasāne bhuul ga.e
in ḳhvāboñ sī yuuñ āzād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
us jān-e-hayā kā bas nahīñ kuchh be-bas hai parā.e bas meñ hai
be-dard diloñ ko kyā hai ḳhabar jo pyaar yahāñ aapas meñ hai
hai bebasī zahr aur pyaar hai ras ye zahr chhupā is ras meñ hai
kahtī hai hayā fariyād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
ā.ankhoñ ko ye kyā āzār huā har jazb-e-nihāñ par ro denā
āhañg-e-tarab par jhuk jaanā āvāz-e-fuġhāñ par ro denā
barbat kī sadā par ro denā mutrib ke bayāñ par ro denā
ehsās ko ġham buniyād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
har dam abadī rāhat kā samāñ dikhlā ke hameñ dil-gīr na kar
lillāh habāb-e-āb-e-ravāñ par naqsh-e-baqā tahrīr na kar
māyūsī ke ramte bādal par ummīd ke ghar ta.amīr na kar
ta.amīr na kar ābād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
jī chāhtā hai ik dūsre ko yuuñ aaTh pahar ham yaad kareñ
ā.ankhoñ meñ basā.eñ ḳhvāboñ ko aur dil meñ ḳhayāl ābād kareñ
ḳhalvat meñ bhī ho jalvat kā samāñ vahdat ko duī se shaad kareñ
ye ārzueñ ījād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
duniyā kā tamāshā dekh liyā ġhamgīn sī hai betāb sī hai
ummīd yahāñ ik vahm sī hai taskīn yahāñ ik ḳhvāb sī hai
duniyā meñ ḳhushī kā naam nahīñ duniyā meñ ḳhushī nāyāb sī hai
duniyā meñ ḳhushī ko yaad na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
ai ishq na chheD aa aa ke hamein hum bhule huon ko yaad na kar
pahle hi bahut nashad hain hum tu aur hamein nashad na kar
qismat ka sitam hi kam nahin kuchh ye taza sitam ijad na kar
yun zulm na kar be-dad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
jis din se mile hain donon ka sab chain gaya aaram gaya
chehron se bahaar-e-subh gai aaankhon se farogh-e-sham gaya
hathon se KHushi ka jam chhuTa honTon se hansi ka nam gaya
ghamgin na bana nashad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
hum raaton ko uTh kar rote hain ro ro ke duaen karte hain
aaankhon mein tasawwur dil mein KHalish sar dhunte hain aahen bharte hain
ai ishq ye kaisa rog laga jite hain na zalim marte hain
ye zulm tu ai jallad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
ye rog laga hai jab se hamein ranjida hun main bimar hai wo
har waqt tapish har waqt KHalish be-KHwab hun main bedar hai wo
jine pe idhar bezar hun main marne pe udhar tayar hai wo
aur zabt kahe fariyaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
jis din se bandha hai dhyan tera ghabrae hue se rahte hain
har waqt tasawwur kar kar ke sharmae hue se rahte hain
kumhlae hue phulon ki tarah kumhlae hue se rahte hain
pamal na kar barbaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
bedard! zara insaf to kar is umr mein aur maghmum hai wo
phulon ki tarah nazuk hai abhi taron ki tarah masum hai wo
ye husn sitam! ye ranj ghazab! majbur hun main mazlum hai wo
mazlum pe yun be-dad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
ai ishq KHudara dekh kahin wo shoKH-e-hazin bad-nam na ho
wo mah-laqa bad-nam na ho wo zohra-jabin bad-nam na ho
namus ka us ke pas rahe wo parda-nashin bad-nam na ho
us parda-nashin ko yaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
ummid ki jhuTi jannat ke rah rah ke na dikhla KHwab hamein
aainda ki farzi ishrat ke wadon se na kar betab hamein
kahta hai zamana jis ko KHushi aati hai nazar kamyab hamein
chhoD aisi KHushi ko yaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
kya samjhe the aur tu kya nikla ye soch ke hi hairan hain hum
hai pahle-pahal ka tajraba aur kam-umr hain hum anjaan hain hum
ai ishq! KHudara! rahm-o-karam masum hain hum nadan hain hum
nadan hain hum nashad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
wo raaz hai ye gham aah jise pa jae koi to KHair nahin
aaankhon se jab aansu bahte hain aa jae koi to KHair nahin
zalim hai ye duniya dil ko yahan bha jae koi to KHair nahin
hai zulm magar fariyaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
do din hi mein ahd-e-tifli ke masum zamane bhul gae
aaankhon se wo KHushiyan miT si gain lab ko wo tarane bhul gae
un pak bahishti KHwabon ke dilchasp fasane bhul gae
in KHwabon si yun aazad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
us jaan-e-haya ka bas nahin kuchh be-bas hai parae bas mein hai
be-dard dilon ko kya hai KHabar jo pyar yahan aapas mein hai
hai bebasi zahr aur pyar hai ras ye zahr chhupa is ras mein hai
kahti hai haya fariyaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
aaankhon ko ye kya aazar hua har jazb-e-nihan par ro dena
aahang-e-tarab par jhuk jaana aawaz-e-fughan par ro dena
barbat ki sada par ro dena mutrib ke bayan par ro dena
ehsas ko gham buniyaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
har dam abadi rahat ka saman dikhla ke hamein dil-gir na kar
lillah habab-e-ab-e-rawan par naqsh-e-baqa tahrir na kar
mayusi ke ramte baadal par ummid ke ghar tamir na kar
tamir na kar aabaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
ji chahta hai ek dusre ko yun aaTh pahar hum yaad karen
aaankhon mein basaen KHwabon ko aur dil mein KHayal aabaad karen
KHalwat mein bhi ho jalwat ka saman wahdat ko dui se shad karen
ye aarzuen ijad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
duniya ka tamasha dekh liya ghamgin si hai betab si hai
ummid yahan ek wahm si hai taskin yahan ek KHwab si hai
duniya mein KHushi ka nam nahin duniya mein KHushi nayab si hai
duniya mein KHushi ko yaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
- Book : kulliyat-e-akhtar shirani (Pg. 63)
- Publication : Khan Publishers, New Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.