ai kash
mujh se ab dekhī nahīñ jātīñ
terī namnāk āñkheñ
tere ye betāb aañsū
mujh ko kar dete haiñ bekal
dil merā kahtā hai mujh se
ye tere ashkoñ ke motī
Dhal kar girne se pahle
inheñ apnī palkoñ pe sajā luuñ
muskurā kar tum ko dekhūñ
aur tumheñ bhī
hañsne kī ek vaj.h duuñ
yuuñ saare ġham tumhāre
pal bhar meñ bhulā duuñ
aur zindagī meñ
maiñ ḳhushī ke rañg bhar duuñ
kaash
aisā kar sakūñ maiñ
ai kaash
mujh se ab dekhi nahin jatin
teri namnak aankhen
tere ye betab aansu
mujh ko kar dete hain bekal
dil mera kahta hai mujh se
ye tere ashkon ke moti
Dhal kar girne se pahle
inhen apni palkon pe saja lun
muskura kar tum ko dekhun
aur tumhein bhi
hansne ki ek wajh dun
yun sare gham tumhaare
pal bhar mein bhula dun
aur zindagi mein
main KHushi ke rang bhar dun
kash
aisa kar sakun main
ai kash
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.