ai KHamoshi
ai ḳhāmoshī!
mere ḳhuun meñ chhup ke baiTh
dulhan ban ke mere chehre par sharmā
aaj kī shab
is ḳhuun meñ dariyā ro.eñge
aur bachche shor machā.eñge
ai ḳhāmoshī!
kafan ho jaise rañgat se mahrūm
tujh meñ bhī kuchh aisī be-lafzī kā mausam phaile
tū bhī dam toḌe merī āñkhoñ meñ
un sāñpoñ meñ
jo sāñsoñ meñ phunkārte haiñ
ai ḳhāmoshī! tāroñ se utar
tārīkī ke imkāñ se ubhar
ai ḳhāmoshī!
ai KHamoshi!
mere KHun mein chhup ke baiTh
dulhan ban ke mere chehre par sharma
aaj ki shab
is KHun mein dariya roenge
aur bachche shor machaenge
ai KHamoshi!
kafan ho jaise rangat se mahrum
tujh mein bhi kuchh aisi be-lafzi ka mausam phaile
tu bhi dam toDe meri aankhon mein
un sanpon mein
jo sanson mein phunkarte hain
ai KHamoshi! taron se utar
tariki ke imkan se ubhar
ai KHamoshi!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.