Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai mere arz-e-watan

Syeda Sadaf Akbar

ai mere arz-e-watan

Syeda Sadaf Akbar

MORE BYSyeda Sadaf Akbar

    ai mere paak vatan

    dekhe the ka.ī ḳhvāb tumhārī ḳhātir

    sīñche the ka.ī gulāb tumhārī ḳhātir

    terī miTTī ḳhushbū qasam khaa.ī thī

    tab kahīñ ke gul-e-lāla muskurā.ī thī

    ai mere arz-e-vatan

    ai mere ḳhushbū ke chaman

    miTTī ko terī rañgā thā lahūñ se apne

    'iqbāl' ne chāhā tujhe fikr se apne

    qaum-e-muslim bas ik Thikāna hai

    ik ghar ik jannat ik āshiyāna hai

    ai mere arz-e-vatan

    ai mere āsmān ke gagan

    ham ko din-rāt yuuñ sajānā hai tujhe

    mānind-e-sahar āñkhoñ meñ basānā hai tujhe

    tere khet khaliyān raheñ baaqī

    shahroñ jagmagāhaT yuuñ chamaktī rahe

    ai mere arz-e-vatan

    ai mere paak vatan

    tere parcham aan ko baḌhānā hai hameñ

    terī miTTī qarz chukānā hai hameñ

    terī azmat ko salām kiyā jaa.e har

    aisā kuchh kar ke ai vatan dikhānā hai hameñ

    ai mere pak watan

    dekhe the kai KHwab tumhaari KHatir

    sinche the kai gulab tumhaari KHatir

    teri miTTi ki KHushbu ki qasam khai thi

    tab kahin ja ke gul-e-lala muskurai thi

    ai mere arz-e-watan

    ai mere KHushbu ke chaman

    miTTi ko teri ranga tha lahun se apne

    'iqbaal' ne chaha tujhe fikr se apne

    qaum-e-muslim ka bas tu hi ek Thikana hai

    ek ghar ek jannat ek aashiyana hai

    ai mere arz-e-watan

    ai mere aasman ke gagan

    hum ko din-raat yun sajaana hai tujhe

    manind-e-sahar aankhon mein basana hai tujhe

    tere khet khaliyan rahen baqi

    shahron ki jagmagahaT yun chamakti rahe

    ai mere arz-e-watan

    ai mere pak watan

    tere parcham ki aan ko baDhana hai hamein

    teri miTTi ka qarz chukana hai hamein

    teri azmat ko salam kiya jae har su

    aisa kuchh kar ke ai watan dikhana hai hamein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now