ai mere ajnabi
arsa-e-umr meñ
ham kahāñ aa ga.e
jis jagah ab
mohabbat kā koī nishāñ hī nahīñ
zindagī kā jahāñ par
gumāñ hī nahīñ
ai mire ajnabī
sabza-o-gul kī rangīniyāñ kho ga.iiñ
phuul murjhā ga.e titliyāñ so ga.iiñ
zindagī kā jahāñ par
gumāñ hī nahīñ
ai mire ajnabī
shahr-e-nā-vāqif-e-hāl meñ aa ga.e
panchhiyoñ kī tarah jaal meñ aa ga.e
ḳhuun jaise ragoñ meñ ravāñ hī nahīñ
ai mire ajnabī
ham kahāñ aa ga.e
raakh baaqī nahīñ aur dhuāñ hī nahīñ
shahr meñ ab koī mehrbāñ hī nahīñ
ai mire ajnabī
arsa-e-umr meñ
ham kahāñ aa ga.e
jis jagah ab
mohabbat kā koī nishāñ hī nahīñ
zindagī kā jahāñ par
gumāñ hī nahīñ
arsa-e-umr mein
hum kahan aa gae
jis jagah ab
mohabbat ka koi nishan hi nahin
zindagi ka jahan par
guman hi nahin
ai mere ajnabi
sabza-o-gul ki ranginiyan kho gain
phul murjha gae titliyan so gain
zindagi ka jahan par
guman hi nahin
ai mere ajnabi
shahr-e-na-waqif-e-haal mein aa gae
panchhiyon ki tarah jal mein aa gae
KHun jaise ragon mein rawan hi nahin
ai mere ajnabi
hum kahan aa gae
rakh baqi nahin aur dhuan hi nahin
shahr mein ab koi mehrban hi nahin
ai mere ajnabi
arsa-e-umr mein
hum kahan aa gae
jis jagah ab
mohabbat ka koi nishan hi nahin
zindagi ka jahan par
guman hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.