ai mere be-dard shahr
dil sulag uThtā hai apne bām-o-dar ko dekh kar
phailne lagtī haiñ jab bhī shaam kī parchhā.iyāñ
is qadar vīrān lamhe is qadar sunsān raat
soch meñ gum haiñ ufuq se tā-ufuq pahnā.iyāñ
kis liye raushan karūñ dīvār-o-dar koī to ho
gung dīvāroñ meñ kyā hoñ anjuman-ārā.iyāñ
duur har shab jaag uThte haiñ ka.ī māh-o-nujūm
aag bhaḌkātī haiñ sang-o-ḳhisht kī rā'nā.iyāñ
rāstoñ se ḳhvāb-gāhoñ tak musalsal mauj-e-rang
jis tarah qaus-e-quzah kī TūTtī añgḌā.iyāñ
zaḳhm-e-nazzāra liye āñkhoñ meñ chup taktā rahā
go mirī nīñdeñ bhī mujh se le uḌiiñ shahnā.iyāñ
kal zarā sī der chamke the mire dīvār-o-dar
jhilmilā uTThī thiiñ merī ruuh kī gahrā.iyāñ
chand lamhoñ ke liye lau de uThā thā ik charāġh
aur damak uTThī thiiñ kuchh lamhe mirī tanhā.iyāñ
aaj itnā shor kyoñ hai ai mire bedard shahr
har nazar merī taraf hai is qadar rusvā.iyāñ
dil sulag uThta hai apne baam-o-dar ko dekh kar
phailne lagti hain jab bhi sham ki parchhaiyan
is qadar viran lamhe is qadar sunsan raat
soch mein gum hain ufuq se ta-ufuq pahnaiyan
kis liye raushan karun diwar-o-dar koi to ho
gung diwaron mein kya hon anjuman-araiyan
dur har shab jag uThte hain kai mah-o-nujum
aag bhaDkati hain sang-o-KHisht ki ra'naiyan
raston se KHwab-gahon tak musalsal mauj-e-rang
jis tarah qaus-e-quzah ki TuTti angDaiyan
zaKHm-e-nazzara liye aankhon mein chup takta raha
go meri ninden bhi mujh se le uDin shahnaiyan
kal zara si der chamke the mere diwar-o-dar
jhilmila uTThi thin meri ruh ki gahraiyan
chand lamhon ke liye lau de uTha tha ek charagh
aur damak uTThi thin kuchh lamhe meri tanhaiyan
aaj itna shor kyon hai ai mere bedard shahr
har nazar meri taraf hai is qadar ruswaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.