ai mere chaaragaro isa-nafas
ai mire chāragaro īsā-nafas
āsmānoñ se pare anfus-o-āfāq kī sarhad se udhar
merī parvāz mirī rāhguzar jaatī thī
ḳhvāhish-e-duniyā-o-tan-āsānī
noch Dālegī mire par mujhe mā'lūm na thā
ab rag-o-pai meñ lahū hai na koī aag na sozish baaqī
biphrī maujoñ ne sukūñ oḌh liyā hai kab kā
sāhil-e-jāñ pe kisī nam kā nishāñ tak bhī nahīñ
aag kā zikr hī kyā koī dhuāñ tak bhī nahīñ
sarsar-e-vaqt ne andāz badal Daale haiñ
ḳhaak ab ḳhaak kī ḳhurāk huī jaatī hai
ai mere chaaragaro isa-nafas
aasmanon se pare anfus-o-afaq ki sarhad se udhar
meri parwaz meri rahguzar jati thi
KHwahish-e-duniya-o-tan-asani
noch Dalegi mere par mujhe ma'lum na tha
ab rag-o-pai mein lahu hai na koi aag na sozish baqi
biphri maujon ne sukun oDh liya hai kab ka
sahil-e-jaan pe kisi nam ka nishan tak bhi nahin
aag ka zikr hi kya koi dhuan tak bhi nahin
sarsar-e-waqt ne andaz badal Dale hain
KHak ab KHak ki KHurak hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.