ai mere KHwab
ai mire ḳhvāb
hunar-ḳhez rivāyat ke amiiñ
inkishāfāt kī daryūza-garī chhoḌ bhī de
gard-e-hañgām meñ tartīb se rakh
aañkh kī ḳhasta fasīloñ se gire ḳhisht-mizāj
un chune zard guloñ se Dhake kuchh soḳhta pal
samt kā koī ta.ayyun to nazar meñ Thahre
ai mire ḳhvāb
mire saath na chal
mujhe darpesh hai lā-samt samāj
ek vīrānī tamāshe meñ guñdhī
ye tamāshā nahīñ pāband-e-charāġh
gard ne raḳht-e-safar aañkh kā chhal
ghar kahāñ hai koī ghar meñ Thahre
ai mire ḳhvāb
mināroñ pe parinde utre
jaane kis ḳhauf se jañgal se palaT aa.e haiñ
Dar hai ye surḳh aqīqoñ ko nigal jā.eñge
sansanātī huī tanhā.ī meñ ghir jā.eñge
un ko darpesh hai ab hijr kā thal
is ḳharābe meñ bhalā kaun safar meñ Thahre
ai mere KHwab
hunar-KHez riwayat ke amin
inkishafat ki daryuza-gari chhoD bhi de
gard-e-hangam mein tartib se rakh
aankh ki KHasta fasilon se gire KHisht-mizaj
un chune zard gulon se Dhake kuchh soKHta pal
samt ka koi tayyun to nazar mein Thahre
ai mere KHwab
mere sath na chal
mujhe darpesh hai la-samt samaj
ek virani tamashe mein gundhi
ye tamasha nahin paband-e-charagh
gard ne raKHt-e-safar aankh ka chhal
ghar kahan hai koi ghar mein Thahre
ai mere KHwab
minaron pe parinde utre
jaane kis KHauf se jangal se palaT aae hain
Dar hai ye surKH aqiqon ko nigal jaenge
sansanati hui tanhai mein ghir jaenge
un ko darpesh hai ab hijr ka thal
is KHarabe mein bhala kaun safar mein Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.