ai mere shabd
ai mire shabd, mire bhed, mahā-dhan mere
raat meñ ḳhushbū tirī! niiñd meñ bosa teraa...
ThanD meñ aag tirī tāpūñ, khilūn
jī uTThūñ!
apne aañsū tire hāthoñ ke kaTore meñ rakhūñ
dair tak tujh se lipaT kar yūñhī rotī jā.ūñ
ai mire shabd! tire ma.anī kī sat-rañg girah
kabhī suljhā.ūñ
kabhī uñglī meñ uljhā baiThūñ
gum rahūñ tujh meñ kahīñ, tujh meñ kahīñ kho jā.ūñ
ai mire shabd! mire ishq, mire afsāne
shaam gul-rañg kare, ḳhvāb ko do-chand kare
terī bārish meñ nikhartā huā sabza merā
maañg āshāoñ kī bhartī huī is duniyā meñ
aur koī bhī nahīñ, koī nahīñ
tū merā!!!
ai mere shabd, mere bhed, maha-dhan mere
raat mein KHushbu tiri! nind mein bosa tera
ThanD mein aag teri tapun, khilun
ji uTThun!
apne aansu tere hathon ke kaTore mein rakhun
dair tak tujh se lipaT kar yunhi roti jaun
ai mere shabd! tere mani ki sat-rang girah
kabhi suljhaun
kabhi ungli mein uljha baiThun
gum rahun tujh mein kahin, tujh mein kahin kho jaun
ai mere shabd! mere ishq, mere afsane
sham gul-rang kare, KHwab ko do-chand kare
teri barish mein nikharta hua sabza mera
mang aashaon ki bharti hui is duniya mein
aur koi bhi nahin, koi nahin
tu mera!!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.