ai mubaraz-talab
Interesting Fact
(sarvat husain kii yaad me.n)
ishq kī tund-ḳhezī ke auqāt āḳhir hue
ai mubāraz-talab zindagī
alvidā
alvidā..... apne auqāt āḳhir hue
ḳhvāb kī lahr meñ
dard ke shahr meñ
gard..... raḳht-e-safar
dil lahū meñ hai tar
zindagī kaT ga.ī teġh kī dhaar par
sajda karte jabīñ kitnī zaḳhmī huī
aur ḳhudā aaj tak ham se raazī nahīñ
aur zamīñ saḳht hai
manzileñ gard haiñ
bādaloñ kī tarah ġham barastā rahā
chaar jānib yahāñ aag hī aag hai
ai mubāraz-talab zindagī
pyaar ke phuul le
dard kī dhuul le
mere hone ke sab ḳhvāb lauTā mujhe
āḳhirī shaam hai
āḳhirī ma.arka hai
ki phir is ke ba.ad
ham kahāñ tum kahāñ
aur hue bhī agar to phir aaise kahāñ
āḳhirī vaar terā hai kaarī bahut
ġham kī shiddat se dil merā bhārī bahut
vaar
ik aur vaar
maut ke sard bose se sarshār dil
terī qurbat kī chāhat meñ martā rahā
umr bhar tujh se jaarī rahā ma.arka
ai mubāraz-talab zindagī
din bhī Dhal hī gayā
shaam bhī thak ga.ī
rūh-e-umr-e-ravāñ
ho rahī hai azaañ
shaam Dhalne se pahle hameñ ajr de
yuuñ hameñ ajr de
jaañ rahe hī nahīñ
ḳhasta tan meñ kahīñ
ham kaheñ alvidā
alvidā
ai mubāraz-talab zindagī
ishq kī tund-ḳhezī ke auqāt āḳhir hue
zindagī tere lamhāt āḳhir hue
ishq ki tund-KHezi ke auqat aaKHir hue
ai mubaraz-talab zindagi
alwida
alwida apne auqat aaKHir hue
KHwab ki lahr mein
dard ke shahr mein
gard raKHt-e-safar
dil lahu mein hai tar
zindagi kaT gai tegh ki dhaar par
sajda karte jabin kitni zaKHmi hui
aur KHuda aaj tak hum se raazi nahin
aur zamin saKHt hai
manzilen gard hain
baadalon ki tarah gham barasta raha
chaar jaanib yahan aag hi aag hai
ai mubaraz-talab zindagi
pyar ke phul le
dard ki dhul le
mere hone ke sab KHwab lauTa mujhe
aaKHiri sham hai
aaKHiri marka hai
ki phir is ke baad
hum kahan tum kahan
aur hue bhi agar to phir aaise kahan
aaKHiri war tera hai kari bahut
gham ki shiddat se dil mera bhaari bahut
war
ek aur war
maut ke sard bose se sarshaar dil
teri qurbat ki chahat mein marta raha
umr bhar tujh se jari raha marka
ai mubaraz-talab zindagi
din bhi Dhal hi gaya
sham bhi thak gai
ruh-e-umr-e-rawan
ho rahi hai azan
sham Dhalne se pahle hamein ajr de
yun hamein ajr de
jaan rahe hi nahin
KHasta tan mein kahin
hum kahen alwida
alwida
ai mubaraz-talab zindagi
ishq ki tund-KHezi ke auqat aaKHir hue
zindagi tere lamhat aaKHir hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.