ai nazir-e-be-KHabar
ai nāzir-e-be-ḳhabar
ab tum nā hī aao to achchhā hai
ab yahāñ phir shurūa se shurūa kaun kare
lamha lamha shab-e-ġham kā yuuñ adū kaun kare
hoñT sūkhe haiñ inheñ phir se kamāñ kaun kare
diid ko chashma-o-shamshīr zabāñ kaun kare
shaam ko phir se charāġhāñ karūñ himmat hī nahīñ
qisse vo phir se sunā.ūñ tujhe quvvat hī nahīñ
jo dariyā bah gayā vo phir na lauT kar aatā
huuñ adākār adākārī nahīñ kar paatā
tū mujhe ab ke kisī aur moḌ par milnā
nayā ho zaḳhm bahe phir koī ḳhuuñ kā jharnā
ye zindagī hai tamāsha kyā tujhe ilm nahīñ
jo lamha Tal gayā so Tal gayā ye film nahīñ
ai nāzir-e-be-ḳhabar
ab tum nā hī aao to achchhā hai
ai nazir-e-be-KHabar
ab tum na hi aao to achchha hai
ab yahan phir shurua se shurua kaun kare
lamha lamha shab-e-gham ka yun adu kaun kare
honT sukhe hain inhen phir se kaman kaun kare
did ko chashma-o-shamshir zaban kaun kare
sham ko phir se charaghan karun himmat hi nahin
qisse wo phir se sunaun tujhe quwwat hi nahin
jo dariya bah gaya wo phir na lauT kar aata
hun adakar adakari nahin kar pata
tu mujhe ab ke kisi aur moD par milna
naya ho zaKHm bahe phir koi KHun ka jharna
ye zindagi hai tamasha kya tujhe ilm nahin
jo lamha Tal gaya so Tal gaya ye film nahin
ai nazir-e-be-KHabar
ab tum na hi aao to achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.