ai nai nasl
Interesting Fact
On 22nd November, 1970 the Golden Jublee celebrations of Government College Ludhiana. On this occasion, Sahir Sahib was especially invited as a former student of the college and in view of his outstanding contribution to literature and society, He was presented with a Gold Medal by then Union Minister of Education Shri R.K. V Rao. Sahir Sahib wrote this poem for this very occasion and recited it in a gathering of teachers and new students.
mere ajdād kā vatan ye shahr
merī ta.alīm kā jahāñ ye maqām
mere bachpan kī dost ye galiyāñ
jin meñ rusvā huā shabāb kā naam
yaad aate haiñ in fazāoñ meñ
kitne nazdīk aur duur ke naam
kitne ḳhvāboñ ke malgaje chehre
kitnī yādoñ ke marmarīñ ajsām
kitne hañgāme kitnī tahrīkeñ
kitne na.are jo the zabāñ zad-e-ām
maiñ yahāñ jab shu.ūr ko pahuñchā
ajnabī qaum kī thī qaum ġhulām
union jaik dars-gāh pe thā
aur vatan meñ thā sāmrājī nizām
isī miTTī ko haath meñ le kar
ham bane the baġhāvatoñ ke imaam
yahīñ jāñche the dharm ke vishvās
yahīñ parkhe the diin ke auhām
haiñ munkir bane rivāyat ke
yahīñ toḌe rivāj ke asnām
yahīñ nikhrā thā zauq-e-naġhma-garī
yahīñ utrā thā sher kā ilhām
maiñ jahāñ bhī rahā yahīñ kā rahā
mujh ko bhūle nahīñ haiñ ye dar-o-bām
naam merā jahāñ jahāñ pahuñchā
saath pahuñchā hai is dayār kā naam
maiñ yahāñ mezbāñ bhī mehmāñ bhī
aap jo chāheñ dījiye mujhe naam
nazr kartā huuñ un fazāoñ kī
apnā dil apnī ruuh apnā kalām
aur faizān-e-ilm jaarī ho
aur ūñchā ho is dayār kā naam
aur shādāb ho ye arz-e-hasīñ
aur mahke ye vādī-e-gulfām
aur ubhreñ sanam-garī ke nuqūsh
aur chhalkeñ mai-e-suḳhan ke jaam
aur nikleñ vo be-navā jin ko
apnā sab kuchh kaheñ vatan ke avaam
qāfile aate jaate rahte haiñ
kab huā hai yahāñ kisī kā qayām
nasl-dar-nasl kaam jaarī hai
kār-e-duniyā kabhī huā na tamām
kal jahāñ maiñ thā aaj tū hai vahāñ
ai na.ī nasl tujh ko merā salām
mere ajdad ka watan ye shahr
meri talim ka jahan ye maqam
mere bachpan ki dost ye galiyan
jin mein ruswa hua shabab ka nam
yaad aate hain in fazaon mein
kitne nazdik aur dur ke nam
kitne KHwabon ke malgaje chehre
kitni yaadon ke marmarin ajsam
kitne hangame kitni tahriken
kitne nare jo the zaban zad-e-am
main yahan jab shuur ko pahuncha
ajnabi qaum ki thi qaum ghulam
union jaik dars-gah pe tha
aur watan mein tha samraji nizam
isi miTTi ko hath mein le kar
hum bane the baghawaton ke imam
yahin jaanche the dharm ke wishwas
yahin parkhe the din ke auham
hain munkir bane riwayat ke
yahin toDe riwaj ke asnam
yahin nikhra tha zauq-e-naghma-gari
yahin utra tha sher ka ilham
main jahan bhi raha yahin ka raha
mujh ko bhule nahin hain ye dar-o-baam
nam mera jahan jahan pahuncha
sath pahuncha hai is dayar ka nam
main yahan mezban bhi mehman bhi
aap jo chahen dijiye mujhe nam
nazr karta hun un fazaon ki
apna dil apni ruh apna kalam
aur faizan-e-ilm jari ho
aur uncha ho is dayar ka nam
aur shadab ho ye arz-e-hasin
aur mahke ye wadi-e-gulfam
aur ubhren sanam-gari ke nuqush
aur chhalken mai-e-suKHan ke jam
aur niklen wo be-nawa jin ko
apna sab kuchh kahen watan ke awam
qafile aate jate rahte hain
kab hua hai yahan kisi ka qayam
nasl-dar-nasl kaam jari hai
kar-e-duniya kabhi hua na tamam
kal jahan main tha aaj tu hai wahan
ai nai nasl tujh ko mera salam
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 228)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.