ai ri chiDiya
jaane is rauzan meñ baiThe baiThe
tū kis dhyān meñ tairī chiḌiyā ai rī chiḌiyā
baiThe baiThe tū ne kitnī laaj se dekhā
pītal ke us ik til ko jo terī naak meñ hai
apnī pat par yuuñ mat riijh ḳhabar hai bāhar
ik ik Daa.in aañkh kī putlī terī taak meñ hai
tujh ko yuuñ chumkārne vāloñ meñ hai ik jug terā bairī
chiḌiyā ai rī chiḌiyā
bhūlī tū yuuñ uḌtī pañkh jhapaktī
yahāñ kahāñ aa Thahrī chiḌiyā ai rī chiḌiyā
ye to mere dil kā piñjrā hai tū is meñ
apnī TuuTī phūTī ḳhushiyāñ DhūñDne aa.ī hai
paglī yahāñ to hai hiire kī kanī kā chogā
aur ik zaḳhmī saañs is pinjre kī añgnā.ī hai
uḌ aur mahkī huī ban-belaḌiyoñ meñ
jā chun apnī lai rī chiḌiyā ai rī chiḌiyā
jaane is rauzan mein baiThe baiThe
tu kis dhyan mein tairi chiDiya ai ri chiDiya
baiThe baiThe tu ne kitni laj se dekha
pital ke us ek til ko jo teri nak mein hai
apni pat par yun mat rijh KHabar hai bahar
ek ek Dain aankh ki putli teri tak mein hai
tujh ko yun chumkarne walon mein hai ek jug tera bairi
chiDiya ai ri chiDiya
bhuli tu yun uDti pankh jhapakti
yahan kahan aa Thahri chiDiya ai ri chiDiya
ye to mere dil ka pinjra hai tu is mein
apni TuTi phuTi KHushiyan DhunDne aai hai
pagli yahan to hai hire ki kani ka choga
aur ek zaKHmi sans is pinjre ki angnai hai
uD aur mahki hui ban-belaDiyon mein
ja chun apni lai ri chiDiya ai ri chiDiya
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 510)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.