ai ruh-e-zindagi
ai rūh-e-zindagī
ai ḳhudā kī quvvat-e-taḳhlīq
kaun sī na.ī duniyā.eñ ābād karne meñ masrūf ho ga.ī hai tū
is hamārī duniyā kī jānib bhī palaT kar dekh
jo lamha-ba-lamha vīrān se vīrān-tar hotī jā rahī hai
ai rūh-e-zindagī
ai avvalīn raushnī kī abadī lau
maut ke añdheroñ ko chīrtī huī aa
dekh maiñ baazū khole khaḌā huuñ
aa aur apnī lapeT meñ le le mujhe
merī āñkhoñ se dekh
mere zehn se soch
mere ḳhvāboñ meñ utar kar maḳhlūq-e-ḳhudā kī ārzūoñ kā andāza kar
mere dil meñ paḌāv kar
is ke shikasta ā.īne meñ hamārī hālat dekh
aur naġhma chheḌ
jo kamzoroñ kī TuuTī huī himmat ko az-sar-e-nau javān kar de
vo suur phūñk
jo zālimoñ ke dast o baazū ko toḌ kar rakh de
vo aah bhar jo fāqoñ martī maḳhlūq par rizq kī bārish ban kar baras jaa.e
vo sadā kar
jo nīyat ke futūr ko husn-e-ḳhayāl meñ
aur natīje kī aziyyat ko husn-e-amal meñ badal de
ai rūh-e-zindagī
ai ḳhudā kī quvvat-e-iz.hār
merī duniyā meñ tere rañg phīke paḌ ga.e haiñ
dekh arboñ insān jīte-jī mar rahe haiñ
nā-insānī bad-amnī māyūsī bīmārī aur jahālat ne
terī tasvīr meñ maut ke rañg bharne shurūa kar diye haiñ
aa, aur bol mere andar se
aa, merā kalām ban jā bayān ban jā merā qalam ban jā mū-qalam ban jā
aa, insāf amn aur āzādī ko tarse huoñ kī ummīd ban jā
aa, dostī mohabbat aur barābarī se mahrūm maḳhlūq kī Dhāras bañdhāne aa
aa, aur jaldī aa
ki tujhe pukārte pukārte kahīñ maiñ haath toḌ kar na baiTh jā.ūñ
ai ruh-e-zindagi
ai KHuda ki quwwat-e-taKHliq
kaun si nai duniyaen aabaad karne mein masruf ho gai hai tu
is hamari duniya ki jaanib bhi palaT kar dekh
jo lamha-ba-lamha viran se viran-tar hoti ja rahi hai
ai ruh-e-zindagi
ai awwalin raushni ki abadi lau
maut ke andheron ko chirti hui aa
dekh main bazu khole khaDa hun
aa aur apni lapeT mein le le mujhe
meri aankhon se dekh
mere zehn se soch
mere KHwabon mein utar kar maKHluq-e-KHuda ki aarzuon ka andaza kar
mere dil mein paDaw kar
is ke shikasta aaine mein hamari haalat dekh
aur naghma chheD
jo kamzoron ki TuTi hui himmat ko az-sar-e-nau jawan kar de
wo sur phunk
jo zalimon ke dast o bazu ko toD kar rakh de
wo aah bhar jo faqon marti maKHluq par rizq ki barish ban kar baras jae
wo sada kar
jo niyat ke futur ko husn-e-KHayal mein
aur natije ki aziyyat ko husn-e-amal mein badal de
ai ruh-e-zindagi
ai KHuda ki quwwat-e-izhaar
meri duniya mein tere rang phike paD gae hain
dekh arbon insan jite-ji mar rahe hain
na-insani bad-amni mayusi bimari aur jahaalat ne
teri taswir mein maut ke rang bharne shurua kar diye hain
aa, aur bol mere andar se
aa, mera kalam ban ja bayan ban ja mera qalam ban ja mu-qalam ban ja
aa, insaf amn aur aazadi ko tarse huon ki ummid ban ja
aa, dosti mohabbat aur barabari se mahrum maKHluq ki Dhaaras bandhane aa
aa, aur jaldi aa
ki tujhe pukarte pukarte kahin main hath toD kar na baiTh jaun
- Book : din kaa phool (Pg. 149)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.