ai sham mehrban ho
ai shaam mehrbāñ ho
ai shām-e-shahryārāñ
ham pe bhī mehrbāñ ho
dozaḳhī dopahar sitam kī
be-sabab sitam kī
dopahar dard-o-ġhaiz-o-ġham kī
be-zabāñ dard-o-ġhaiz-o-ġham kī
is dozaḳhī dopahar ke tāziyāne
aaj tan par dhanak kī sūrat
qaus-dar-qaus baT ga.e haiñ
zaḳhm sab khul ga.e haiñ
daaġh jaanā thā chhaT ga.e haiñ
tire toshe meñ kuchh to hogā
marham-e-dard kā do-shāla
tan ke us añg par uḌhā de
dard sab se sivā jahāñ ho
ai shaam mehrbāñ ho
ai shām-e-shaharyārāñ
ham pe mehrbāñ ho
Evening, Be Gracious
dozaḳhī dasht nafratoñ ke
bedard nafratoñ ke
kirchiyāñ dīda-e-hasad kī
ḳhas-o-ḳhāshāk ranjishoñ ke
itnī sunsān shāhrāheñ
itnī gunjān qatl-gāheñ
jin se aa.e haiñ ham guzar kar
aabla ban ke har qadam par
yuuñ paañv kaT ga.e haiñ
raste simaT ga.e haiñ
maḳhmaleñ apne bādaloñ kī
aaj pāñv-tale bichhā de
shāfi-e-karb-e-rah-ravāñ ho
ai shaam mehrbāñ ho
ai mah-e-shab-e-nigārāñ
ai rafīq-e-dil-figārāñ
is shaam ham-zabāñ ho
ai shaam mehrbāñ ho
ai shaam mehrbāñ ho
ai shām-e-shaharyārāñ
ham pe mehrbāñ ho
O evening, be gracious—
O evening of the city of friends
be gracious to me.
The hellish noon of oppression,
senseless cruelties,
the noon of pain, rage and sorrow,
inarticulate pain, rage and sorrow,
the whiplashes of this demonic noon—
are all, like the rainbow, branded no my body
arc within arc.
ai sham mehrban ho
ai sham-e-shahryaran
hum pe bhi mehrban ho
dozaKHi dopahar sitam ki
be-sabab sitam ki
dopahar dard-o-ghaiz-o-gham ki
be-zaban dard-o-ghaiz-o-gham ki
is dozaKHi dopahar ke taziyane
aaj tan par dhanak ki surat
qaus-dar-qaus baT gae hain
zaKHm sab khul gae hain
dagh jaana tha chhaT gae hain
tere toshe mein kuchh to hoga
marham-e-dard ka do-shaala
tan ke us ang par uDha de
dard sab se siwa jahan ho
ai sham mehrban ho
ai sham-e-shaharyaran
hum pe mehrban ho
Evening, Be Gracious
dozaKHi dasht nafraton ke
bedard nafraton ke
kirchiyan dida-e-hasad ki
KHas-o-KHashak ranjishon ke
itni sunsan shahrahen
itni gunjaan qatl-gahen
jin se aae hain hum guzar kar
aabla ban ke har qadam par
yun panw kaT gae hain
raste simaT gae hain
maKHmalen apne baadalon ki
aaj panw-tale bichha de
shafi-e-karb-e-rah-rawan ho
ai sham mehrban ho
ai mah-e-shab-e-nigaran
ai rafiq-e-dil-figaran
is sham ham-zaban ho
ai sham mehrban ho
ai sham mehrban ho
ai sham-e-shaharyaran
hum pe mehrban ho
O evening, be gracious—
O evening of the city of friends
be gracious to me.
The hellish noon of oppression,
senseless cruelties,
the noon of pain, rage and sorrow,
inarticulate pain, rage and sorrow,
the whiplashes of this demonic noon—
are all, like the rainbow, branded no my body
arc within arc.
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 528)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.