ai watan ai watan
ai vatan ai vatan ham tire pāsbāñ
ai chaman ai chaman ham tire bāġhbāñ
chāñdnī dhuup bādal barastī ghaTā
har nazāra hasīñ har adā dilrubā
gul-badāmāñ tirī dil-nashīñ-dāriyāñ
ai vatan ai vatan ham tire pāsbāñ
terī tahzīb guldasta-e-zindagī
terī tārīḳh ā.īna-e-zindagī
har varaq ādamiyat kī hai dāstāñ
ai vatan ai vatan ham tire pāsbāñ
ḳhūn-e-dil se sajāte rahe ham tujhe
rashk-e-jannat banāte rahe ham tujhe
tujh ko hasrat se dekhā kiyā āsmāñ
ai vatan ai vatan ham tire pāsbāñ
ai watan ai watan hum tere pasban
ai chaman ai chaman hum tere baghban
chandni dhup baadal barasti ghaTa
har nazara hasin har ada dilruba
gul-badaman teri dil-nashin-dariyan
ai watan ai watan hum tere pasban
teri tahzib guldasta-e-zindagi
teri tariKH aaina-e-zindagi
har waraq aadamiyat ki hai dastan
ai watan ai watan hum tere pasban
KHun-e-dil se sajate rahe hum tujhe
rashk-e-jannat banate rahe hum tujhe
tujh ko hasrat se dekha kiya aasman
ai watan ai watan hum tere pasban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.