ai watan
ai vatan terī mohabbat qudratan is dil meñ hai
tere ehsānāt kā naġhma mirī mahfil meñ hai
naqsh-e-pā terā rahā manzil-numā tahzīb kā
rāhat-e-arz-o-samā pinhāñ tirī manzil meñ hai
bevafā.ī jis ne kī tujh se yaqīnan jo bhī ho
nā-mukammal us kā īmāñ kufr us ke dil meñ hai
ābrū-rezī tirī hone na deñge ai vatan
terī har shai kī hifāzat kā irāda dil meñ hai
is mohabbat ko parastish se badalnā bhuul hai
ye taqāza ye tavāzun is dil-e-kāmil meñ hai
sab se achchhā mulk merā naaz se jo ye kahe
faḳhr bejā hai ye us kā ḳhud-satā.ī dil meñ hai
naam le kar desh-bhaktī kā jo ḳhūñ-rezī kare
kaisī sāzish kaisī nafrat us dil-e-qātil meñ hai
ham pe ġhaddārī kī tohmat ye navāzish dekhiye
dekh liije zahr kitnā us rag-e-bātil meñ hai
is marīzāna ravayye se vatan majrūh hai
is kā nusḳha tū batā 'shāfī' jo tere dil meñ hai
ai watan teri mohabbat qudratan is dil mein hai
tere ehsanat ka naghma meri mahfil mein hai
naqsh-e-pa tera raha manzil-numa tahzib ka
rahat-e-arz-o-sama pinhan teri manzil mein hai
bewafai jis ne ki tujh se yaqinan jo bhi ho
na-mukammal us ka iman kufr us ke dil mein hai
aabru-rezi teri hone na denge ai watan
teri har shai ki hifazat ka irada dil mein hai
is mohabbat ko parastish se badalna bhul hai
ye taqaza ye tawazun is dil-e-kaamil mein hai
sab se achchha mulk mera naz se jo ye kahe
faKHr beja hai ye us ka KHud-satai dil mein hai
nam le kar desh-bhakti ka jo KHun-rezi kare
kaisi sazish kaisi nafrat us dil-e-qatil mein hai
hum pe ghaddari ki tohmat ye nawazish dekhiye
dekh lije zahr kitna us rag-e-baatil mein hai
is marizana rawayye se watan majruh hai
is ka nusKHa tu bata 'shafi' jo tere dil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.