ai zamin-e-watan
ai vatan ai vatan ai zamīn-e-vatan
ham haiñ taare tire tū hamārā gagan
terī shohrat zamāne meñ sadiyoñ se hai
tū vafā ke fasāne meñ sadiyoñ se hai
tū hamesha rahe yuuñ hī rashk-e-zaman
ai vatan ai vatan ai zamīn-e-vatan
ham haiñ taare tire tū hamārā gagan
qābil-e-rashk hai terā nām-o-numūd
ai vatan dar-haqīqat hai terā vajūd
shān-e-gañg-o-jaman faḳhr-e-koh-o-daman
ai vatan ai vatan ai zamīn-e-vatan
ham haiñ taare tire tū hamārā vatan
luTne deñge na hargiz tirī aabrū
har qadam par tujhe de ke apnā lahū
ham salāmat rakheñge tirā bāñkpan
ai vatan ai vatan ai zamīn-e-vatan
ham haiñ taare tire tū hamārā gagan
tujh pe Dālegā koī jo ochhī nazar
sarhadoñ se baḌhe koī dushman agar
ham nikal ā.eñge sar pe bāñdhe kafan
ai vatan ai vatan ai zamīn-e-vatan
ham haiñ taare tire tū hamārā gagan
ai watan ai watan ai zamin-e-watan
hum hain tare tere tu hamara gagan
teri shohrat zamane mein sadiyon se hai
tu wafa ke fasane mein sadiyon se hai
tu hamesha rahe yun hi rashk-e-zaman
ai watan ai watan ai zamin-e-watan
hum hain tare tere tu hamara gagan
qabil-e-rashk hai tera nam-o-numud
ai watan dar-haqiqat hai tera wajud
shan-e-gang-o-jaman faKHr-e-koh-o-daman
ai watan ai watan ai zamin-e-watan
hum hain tare tere tu hamara watan
luTne denge na hargiz teri aabru
har qadam par tujhe de ke apna lahu
hum salamat rakhenge tera bankpan
ai watan ai watan ai zamin-e-watan
hum hain tare tere tu hamara gagan
tujh pe Dalega koi jo ochhi nazar
sarhadon se baDhe koi dushman agar
hum nikal aaenge sar pe bandhe kafan
ai watan ai watan ai zamin-e-watan
hum hain tare tere tu hamara gagan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.