ai zindagi
ai zindagī
to ab tumhārī umr kī bahāreñ guzar ga.iiñ
aur ḳhizāñ kā mausam aane vaalā hai
achchhā tū ye batā zindagī
ki chāñd kī pariyāñ ab tak
mere āñgan meñ rozāna
kyuuñ utartī haiñ
kyuuñ mujhe āsmānoñ kī sair karātī haiñ
maiñ ab tak rañgoñ se kyuuñ kheltī huuñ
mujhe kā.enāt se pare
ek duniyā kyuuñ dikhā.ī detī hai
jahāñ sirf phuul hī phuul hote haiñ
aur mīThe paanī ke ābshāroñ meñ
merā vajūd bhīgtā hai
maiñ ok bhar kar un se
paanī kyuuñ piitī huuñ ab tak
mujhe parindoñ kī bolī kyuuñ samajh meñ aatī hai
mujhe sharārat karnā kyuuñ bhātā hai ab tak
maiñ hañsnā kyuuñ nahīñ bhūlī huuñ
mere andar kī bachchī kyuuñ ab tak
apne TuuTe hue khilaunoñ se kheltī hai
mere hasīn ḳhvāb kyuuñ nahīñ chhūTe ab tak
zindagī ai zindagī
mujhe ye batā
ki maiñ ne ab tak nafrat karnā kyuuñ nahīñ sīkhā
ai zindagi
to ab tumhaari umr ki bahaaren guzar gain
aur KHizan ka mausam aane wala hai
achchha tu ye bata zindagi
ki chand ki pariyan ab tak
mere aangan mein rozana
kyun utarti hain
kyun mujhe aasmanon ki sair karaati hain
main ab tak rangon se kyun khelti hun
mujhe kaenat se pare
ek duniya kyun dikhai deti hai
jahan sirf phul hi phul hote hain
aur miThe pani ke aabshaaron mein
mera wajud bhigta hai
main ok bhar kar un se
pani kyun piti hun ab tak
mujhe parindon ki boli kyun samajh mein aati hai
mujhe shararat karna kyun bhata hai ab tak
main hansna kyun nahin bhuli hun
mere andar ki bachchi kyun ab tak
apne TuTe hue khilaunon se khelti hai
mere hasin KHwab kyun nahin chhuTe ab tak
zindagi ai zindagi
mujhe ye bata
ki main ne ab tak nafrat karna kyun nahin sikha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.